Safar-e-Mohabbat: Anjaane Raaste

Dhoondti hoon main raahon ko, anjaani duniya mein,
Anjaan log, anjaane safar, kahin kho jaati hoon.

Har mod pe milte hain mujhe, naye chehre, naye aas paas,
Pyar ki baten karte hain, chhod jaate hain gehre zakham.

Mere aankhon mein basi hai khwahishein ki potli,
Tere pyar ki mehek abhi bhi mere saanson mein.

Par pyar toh ek pal ka mehmaan hai, jaldi laut jaata hai,
Dil❤️ ye dard se anjaan hai, kyun ki sachai ka ehsaas hai.

Isliye pyar karna hai apne sapno se, apne maa baap se,
Unki khwahishein poora karo, unki muskurahaton😊 ko sajaao.

Is anjaane safar mein, saath deti hai maa baap ki duaayein,
Bachche rote hain to unka dil bhi rota hai, unki khushi mein khush hota hai.

Unki aankhon mein aansu😢 kabhi mat aane dena,
Unke saath har pal rehna, unki zindagi ko sajana.

Kyunki wahi toh hamara sahara hai, jab hum doobte hain,
Wahi humein kinara milta hai, muskurahat ki raah dikhaata hai.

Wo hamesha khushiyo ki chabi🔑 rakhte hain apne dil mein,
Hamari salaamati ki dua karte hain, khud ko alvida keh jaate hain.

Lekin maa baap ka dil kabhi bidaai nahi karta,
Khuda ke judaai se bhi maa ke bachchon se judaai👨‍👩‍👦‍👦 nahi hoti.

Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *