EK CHHOTI SI KAHANI – jay

——————–# EK CHOTI SI KAHANI#———————–— Mai akela juhoo beach par khada ek ghante se uska intjaar kar raha tha. usse aksar der se aane ki aadat thi, lekin mai kabhi uski is aadat se pareshan nahi hua, wo kahate hain na , pyar mai logon ko kamiyon mai bhi khoobiyaan najar aati hai , shayad is baat ka ek example mai bhi tha. door door tak kuch nahi najar aa raha tha, bas pani hi pani tha, kahin bhi kinara najar nahi aa raha tha, kahane ko to mai kinare par hi tha, lekin asal mai , main ek bhabar mai fasaa hua tha., pichle 6 saal se hum log satth the , do din bhi sahar se bahar jane se hi pareshan ho jati thi , to fir ab kya ho gaya itni aasani se kaise usne itna bada faisla le liya, kahin koi aur to nahi mil gaya usse, are nahi mai bhi kya kya sochta hoon, wo sirf mujhse pyar karti hai, sirf mujhse aur kisi se nahi …………….are wo meri bibi hai , aur bibiyan ye sab nahi kartin. khud se hi sawal karta khud hi jabab deta ….jane kya soch raha tha……. tabhi mud ke dekha ki kalpana samne se chali aa rahi thi , yellow color ka suite pahana tha, baal khule the , uske gaalon ko chhooti hui hawayein uske walon ko udaa rahi thin, din ki khili hui dhoop uske rung ko thoda or nikharne ki koshis kar rahi thi , akhir ye haawainyen , ye dhoop kitne battameez hote hain na , bagair izzaazat ke aise kaise choo sakte hain ,meri bibi hai wo uspe sirf mera hak hai , waise itni jalousy, itni fiqar mujhe aaj hi kyon feel ho rahi thi aaj fir maire dil ki dhadkan utni bad chuki thi jitni ki pahali baaar usse dekhne ke baad bad gai thi, wo jitna mere paas aa rahi thi , mujhe utna hi uske door jane ka ahasaas ho raha tha….. jab wo paas aai to mai apne sawalon ka pitara man mai samete khamoshi se samandar ki or dekhne laga. ek baar meri or dekhke usne bhi meri najaron ke us choor tak pahuchte hue , kaha yahan kyon bulaya mujhe . uske ish ek sawal ne kai sawal kiye mujhse, aakhir yahin kyon bulaye maine, hum ghar par bhi baat kar sakte the , to fir yahaan, naye premiyon ki tarah bulane ki kya jaroorat thi. lekin mai kya karta majboor the na dil ke haaton , battmeez jid kar raha tha yahin milne ko, jahan tumse pahali baar mila tha, tum apni doston ke sath aai thi or main, main bhi apne doston ke sath juhoo beach ghoomne aaya tha. tum apni doston ki toli mai sabse alag najar aa rahi thin, sabse khoobsurat, manchali, aur chalu type bhi, tumhen yaad hai , hum doston mai se rahul ne shayad tumhari dost rashmi ko chhed diya tha, to tumne kitna bada hungama khada kar diya tha , baad mai rahul ko sorry bhi bolna pada tha. waise galti rahul ki nahi thi, lekin fir bhi bechare ko mere kahane se sorry bolna pada, jab tumhe sach pata chala tha to tumhe bhi rahul ko sorry bolna pada. lekin kuch bhi hua ho , us mulakaat se hi hamari baat suru hui thi, tabhi se tum mere najdeek aa gai thi, dekho na mai bhi pal bhar mai kahan se kahaan tak ki yaadon ka safar kar leta hoon, tum samne khadi ho lekin ab bolne ko mare paas kuch nahi hai ,, tumne najarein jhuka li, tumhara sabal abhi bhi jabab maang raha hai , maine mud ke tumhari taraf dekha or bol hi diya. ” mat jao kalpana…………………....mujhe chod ke mat jao” kalpana chup chaap khadi thi, jaise koi teacher apne student se explanation mang raha ho , ki aakhir tum ne waqt rahate apna home wark poora kyon nahi kiya, ki tumne apni duty poori kyon nahi ki, wakt rahate waqt ki keemat kyon nahi samajhi. yehi sare sawal uski bolti khamoshi mojhse kar rahi thi, or mai bhi ek apradhi ki tarah khada maafi ki guzarish kar raha tha, ” mujhe maaf kardo kalpana……………please mujhe maaf kardo” ye kahate hue meri aankhon ne mere hoton ka saath nahi diya or pal bhar mai barasna suru kar diya, ” haan mai manta hoon ki maine galtiyaan ki hain ,tumhen bahut sataya hai, kabhi tumhe samajhne ki koshis nahi ki,……………….lekin mai baadaa karta hoon ki ab tumhe kabhi nahi rulaonga, tum jo kahogi bahi karoonga, mai bada karta hoon ki ab Mss. shruti se kabhi nahi miloonga, mai bada karta hoon ki late night parties mai aaj ke baad kabhi nahi jaonga, aur tumhare 7 baje bale tv show ke time remote ko haath bhi nahi lagaonga , tum kahogi bahi sirt pahanoonga, aur ab jhukham mai kabhi aam ka achaar nahi khaonga…………………..…….lekin please kalpana mujhe chod kar mat jao…………….mai tumhare bina jee nahi paonga” bahati hui laharon ke saath mairi aabaj se bahate hue dard ko mai rok nahi paa raha tha usne khamoshi todte hue kaha ” ab kuch nahi ho sakta ajay……maine faisala kar liya…………or waise bhi ………..ab hamara alag ho jana hi bahatar hai ……..shadi ke baad na tumne mujhe samajhne ki koshish ki aur na mai tumhe samajh pai , humari lave story kab hate story ban gai kuch pata hi nahi chala..” dil ki baat kahate kahate uski awaz bhi barson ke chupe dard ko bhar lai, aankhe dub dubane ki koshish kar rahi thi , lekin kalpana apna muh doosri taraf karke unhe chupane ki naakam koshis kar rahi thi. ” please kalpana……………mai jaanta hoon ki mai shadi ke baad kitna badal gaya tha, mai apne kasmain , wade sab bhool gaya , are mai pagal to wo din bhi bhul gaya jab tumhare bina mera ek pal nahi katta ttha , aaj jab tumne chodke jane ki baat kahi , tab mujhe apni galti ka ahashas hua …………….mai tumhen khona nahi chahata …….please mujhe akela chod ke mat jao……..please.” tabhi driver ne gadi ka horn bajaya, usne mud ke ghadi ki taraf dekha , aur boli ” chalti hoon …………6 baje ki flight hai……….” bas itna bol ke uske kadam uthane lage aur mai bahi khada usse jate hue dekhta raha gaya, mai usse rok lena chahata tha hamesha hamesha ke liye , lekin wo ruki nahi, baqt ki tarah jate hue uske kadmon ko mai rok nahi paya, mere ander paschataap ki aag mai jalta hua insaan , usse maafi ki bheek mangta raha gaya lekin mili nahi, shayad mera gunha bahut bada tha , shayad mai maaf karne layak nahi tha, dekhte hi dekhte wo gadi mai baithi aur jane kab meri aankhon se door ho gai , mai apne aapko sambhal nahi paya or bahi gir pada ,samandar ki bahati hui laharon ko apne paas tak aake laut te huye dekhta raha, ek aansuon ka samandar mere andar bhi baha raha tha, jo mujhe apni galtiyon ka ahasas kara raha tha ,jo mujhe pal bhar mai mere beete baqt ki tasveer dikha raha tha, ab to andhera hone laga tha , sham hote hi bhoole visre panchi apne gharon ko bapas lout rahe the, lekin mere jaisa bhoola ab ghar kaise laute, kadam bhi to sath nahi denge , deewaren kai sawaal poochengi, mai kahan se launga jabab, dil mai bas ek hi khayal aa raha tha ki kaash ek baar kalpana baapas laut aaye , kaash ek baar wo meri galtiyon ko maaf karde, kaash ek baar wo fir se meri kalpana ban jaye . tabhi kisi ne mere kandhe pe hath rakha. maine mud ke dekha , samne kalpana khadi thi …………….. boli ” ghar nahi chalna…………………….7 baj gaye hain………….. mera TV show suru ho gaya hoga” mai ladkhadate huye pairon ke sahare khada hua , aur dub-dabati hue aankhon se uski taraf dekha , aur khud ko rok nahi para or usse gale lagake ek chote bachhe ki tarah rone laga………. ” please kalpana mujhe maaf kardo” “haan baba maaf kar diya…………aur baise tumne soch bhi kaise liye ki mai tumhe chhod ke chali jaongi, agar mai chali jaati tumhare gande kapde kaun dhota , tumhen subha jaldi kaun utha tha , aur kahin mere jaane ke baad tum Mss. sruti ko ghar le ate to……….na baabaa mai tumhe kabhi akela chod ke nahi jaongi…………..kabhi nahi” “bas itni si thi ye kahani, agar aap logon ko meri kahani thodi bhi pasand aai hai to mujhe jaroor bataiyen jis se ki mai aur bhi bahatar kahaniiyaan le ke aa sakoon mera E- mail id hai[email protected]

 

 

Submit Your Story

Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin

13 thoughts on “EK CHHOTI SI KAHANI – jay”

  1. Mohnish kushwah

    Really nice one……………
    Finally u got ur love……………
    Ab kvi mt chodna use……………
    Use bht love krna……………

  2. hi
    muze starting me to laga k ye kya likha he iska to kuch atapta bhi nhi chl rha he kaha se shuru hui he or kaha pe twist aa rha he bad me sab pata chal gaya THE END ke time pe or ha apki story achi he or main HAPPY THE END he !!!!!!

  3. Yaar jaypratap, mujhe ye samajh me hi nhi aa rha hai ki ye story imaginary hai ya real? Please, mujhe btayiye fir mai comment krunga. Ok, don’t mind.

  4. Superb….Starting me thoda boring laga…..bt after when she come back…… its feel nice….. nd really its a nice nd excellent story …. though it was written, but it feels like original scene….
    No words to say dear…..Aweeesome….Amazingggg…….. extra ordinary…..(y)

  5. it’s so amezing story…bahot bahot bahot acchi story hai apki ..but yeh to bataya nahi apne yeh real hai ya imagine ki hui hai …plz zarur batana….jo bhi ho story acchi hai out standing hai……….

  6. nice story sir bhot hi achi h
    apka story likhne ka trika bhot hi acha h words bhot ache se use kiye h
    IT’S reaLLY AWsomE

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *