ehsas- the feeling of true love – mandeep

” love story – ” EHsaas ( tHE FEELING OF TRUE LoVe ) pyaar toh sabhi kartey hai is duniya mein magar kabhi kabhi pyaar milta hai aur nahi bhi milta kuch logo ko bewafai milti hai,aur pyaar se baney huye rishtey kaanch ki tarah tut kar bikhar jatey hai,pyaar toh dosto ehsas ka naam hai,aur jisne is ehsaas ko pa liya smjho usey duniya ki har khushi naseeb ho gayi aur jo is ehsas ko na pa saka voh duniya ka asli ehsas kar he nahi sakta…, dosto aj main apko ik aisey he ladke ki kahaani sunaney ja rha hun, ik lakda tha voh ik ladki ko bahut chahta tha ,usney kabhi kisi ladki se pyar nahi kiya tha ,magar school mein he voh ik ladki ko chaah baitha, magar ik problem thi us ladke mein voh ladka dikhne mein acha nahi tha,sabhi log uska mjaak udaya karte thee,voh ladka bahut bura mehsus karta tha is baat se ki sabhi uska mjaak udaya karte hai,uske kuh teachers bhi us par hastey thee,kabhi kabhi akele mein voh roya bhi karta tha ,lekin pyaar ik aisa ehsas hai jo insaan ko badal deta hai dosto,us ladke ne bhi pyaar kiya apne he school mein padne wali ik ladki se……, lekin voh kabhi usey btaa nahi paya ki voh us ladki se pyaar karta hai,jab bhi voh school atii usi waqt vo bhi pahunch jata tha,subaah jaldi uthna aur sirf us ladki ke liye voh roj jaldi jagta tha ….. voh ladka aur voh ladki ik he waqt school pahunch jatey thee…. ik din school mein kisi ne us ladke se bura bartaav kiya , us ladke ko niche giraa diya zameen par aur voh udaas ho gaya uska school bag gir gaya.. tab koi agey nahi aya lekin us ladki ne uski madat ki jis se voh ladka pyaar karta tha.. aur us ladke ko bhi us ladki ne danta jisne us ladke ko dhaka diya tha… apne liye apnapan dekh voh ladka bahut khush hua aur us ladke ne soch liya ki ab voh apne ap ko badlega kisi aur ke liye nahi sirf apne pyaar ke liye.. akhir usne himmat ki aur apne ap ko badla din raat usne mehnat ki ….. jab bhi voh kamjoor padta voh apne pyaar ko yaad karta akhir usne apne ap ko badla magar dosto pyar uski kismat mein nahi tha … us ladke ko yeh ehsas hua ki voh ladki uske liye bani he nahi thi pyaar uski kismat mein nahi tha exam ho rahe the us waqt aur akhri exam tha us din sabhi chodh gaye ik dusre ko school ki chutiyaan padne wali thi result aney mein time tha abhi… last year tha voh.. ladka bahut dukhi hua.. ghar jakar voh bahut roya aur dheere dheere usne us ladki ko bhulne ki koshish ki magar voh kabhi us ladki ko yeh ehsas karva he nahi ska ki voh ussey pyaar karta hai……… akhir zindagi ko phir se jeney lgaa voh… aur 2 saal tak voh dukhi he rha usney apne ap ko badal toh liya tha magar kiske liye ab kya fayda tha uske badlav ka jiske liye usne apne ap ko badla voh toh chodh gyi thi usey…. 2 saal voh dukhi he rha lekin dukhi rehne se dosto zindagi khatam nahi ho jati jeney ki umed bani rehti hai… us lakde ne bhi yehi kiya…. aur akhir kar voh us ladki ki yadoan ke sahare jiya ik baar phir se …. apne kaam mein man lgaya usne… uski ik achi jagah par job lag gyi thi lekin dosto aj bhi voh ladka us ladki ko yaad karta hai aur rone lagta hai lekin apna dukh usne aj bhi apne dil mein band karke rakha hai… aur us ladki ka voh aj bhi shukriya karta hai aur apne rab ka bhi jisney usey badla aur himmat di aur yeh ehsas bhi karvaya ki pyaar hamesha jruri nahi ki mil jaye ,pyaar toh voh ehsas hai jo mil kar bhi kabhi kabhi nahi milta …………………….. aur aj bhi tanhayi mein voh us ladki ko yaad karta hai …. yeh thi kahani us ladke ki jisne apne pyaar ke liye apne ap ko badla ” Aghosh Mein Lelo Mujhe Tanha Hoon Main Basa Lo Dil Ki Dhadkan Mein Tanha Hoon Main Jo Tum Nahin Zindagi Mein Toh Kuchh Nahin Samaa Jao Mujhi Mein Ke Tanha Hoon Main…

 

 

Submit Your Story

Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin

8 thoughts on “ehsas- the feeling of true love – mandeep”

  1. Praveen Bartwal

    Bhut achi story thi yr sach mai …. Agar kise ka pyar kise ko badal de ye kam h kya. Na mila pyar magar zindgi bhar k liye ak life change ko ehsaas to de gaya……nic, vnic story

    1. Praveen Bartwal

      bhai upar post your story ..likha h us pe kar do na…..fir to ham b padhna chahenge tumhari love story …hmmmmm

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *