💘 Discover a Heartfelt Story: Bewafai - DhaVal Patel

Samay Ke Saath Prem

Main apne sapno mein ek ajeeb si duniya mein kho jaati thi, jahan sab kuch alag tha. Na sirf log, balki mahaul bhi purana lagta tha. Har raat jab mein soti, tabhi kuch ajeeb hota tha. Ek ajnabi chehra, ek purani haweli, aur ek purana zamana… sab kuch kisi aur duniya ki tarah hota tha. Aur sabse zyada, ek aadmi tha—uska naam tha Aryan. Har raat, usi ka chehra mujhe sapno mein dikhai deta tha. Maine socha ki shayad yeh sirf ek purana sapna hai, jo mere dimag mein kabhi kahin padhe hue kitabein ya filmon ke wajah se aa gaya ho. Lekin har raat jab uska chehra mujhe milta, toh koi ajeeb sa connection mehsoos hota. Jaise main use kuch jaanti hoon, jaise hum dono ek dusre ko pehchante hain.

Pehle toh maine isse ignore kar diya, socha kuch nahi, bas ek samanya sapna hai. Lekin ek din, jab main apne office se kaam krk ghar ja rahi thi, ek purani photo dekhi thi ek antique store mein. Mera dil ekdum se tez dhadakne laga. Woh tasveer… woh hi aadmi tha jo mere sapno mein dikhai deta tha—Aryan! Main thoda confuse ho gayi thi. Yeh kaise ho sakta tha? Main ek time-travel ya kisi purani kahani mein nahi jee rahi thi, yeh sirf ek galat fehmi ho sakti thi.

Jab main photo ka peeche wala message padh rahi thi, mujhe ek aur zyada ajeeb cheez mili. Wahi photo ek purani jagah ki thi, jo ek purani haweli ke baare mein thi. Mera mann thoda ghabra gaya tha. Mera dil keh raha tha ki kuch toh hai, kuch toh hai jo mere sapno mein dikhayi deta hai aur jo main abhi dekh rahi hoon. Maine thoda aur research kiya, aur pata chala ki woh haweli usi sheher mein thi jahan main rehti hoon. Mere dil ki dhadkan tez ho gayi. Kya yeh sab kismet thi, ya kuch aur?

Wahaan jakar mujhe Aryan ke baare mein aur bhi chhupi hui baatein pata chal gayi. Aryan ek purane zamane ka aadmi tha, jo 19th century mein wahan reh raha tha. Uske baare mein jo likha gaya tha, usse yeh lagta tha ki woh ek achha insaan tha, lekin uska janm us waqt hua tha jab samaj aur zamana bilkul alag tha. Main har din uske baare mein adhik jaanne ki koshish karti. Aur phir ek din, jab main purani haweli tak pahuch gayi thi, tab mujhe wohhi feeling hui, jo sapno mein hoti thi. Main samajh gayi ki main usse is samay mein nahi, balki uske zamane mein kisi wajah se jodti hoon. Kaise? Yeh samajhna mere liye muskil tha.

Agar main usse milna chahti thi, toh mujhe apne sapno ki duniya mein jaana padta. Har raat main apne sapno mein uske paas pahuchti. Aryan mujhe apne purane zamane ki baatein batata, apni kahaniyaan share karta. Main usse apne samay ki duniya ke baare mein batati aur hum dono ek ajeeb si duniya mein jeene lage. Humare beech ek aisi prem kahani thi, jo samay ke saath badh rahi thi, lekin samay ke kaaran hum dono ek dusre ke saath nahi reh sakte the.

Ek din, jab main apne sapne mein usse baat kar rahi thi, usne mujhe kaha, “Main tumhe apne samay mein le jaa sakta hoon, lekin phir tum apne samay ko kabhi nahi dekh paogi. Tum dono duniyaon mein nahi reh sakti.” Mere mann mein bahut saare sawaal the. Kya main apne sapnon ke piche apni puri zindagi daav par laga doon? Kya main apne duniya se door jaa kar uske saath apne sapne sach karne ka faisla karoon? Ya phir, kya yeh sirf ek khoya hua sapna hai jo kabhi sach nahi ho sakta?

Main sochti rahi, aur phir ek din, jab main Aryan se milne apne sapne mein gayi, toh usne mujhe kaha, “Tum mere saath jaana chahti ho?” Mere dil ki dhadkan tez thi. Main samajh gayi ki chahe samay ka koi bhi fark ho, lekin meri aur Aryan ki prem kahani sach thi, aur main apne dil ki sunna chahti thi. Main uske saath apne sapne ki duniya mein chali gayi. Hum dono ne milkar apne rishte ko naye tareeqon se samjha, naye raaste apnaye.

Yeh prem kahani samay ke safar ki ek misaal thi. Humare beech ki doori sirf waqt ki thi, lekin hum dono ne apne sapno ko sach kiya. Samay ke saath prem kabhi rukta nahi, woh hamesha apne raste dhoondh leta hai. Aur phir, jab samay ka rukaavata gaya, humne apne prem ka safar poora kiya, chahe woh kitna bhi kathin kyun na ho.

Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *