Hello friends mera name Raj Sahu hai. Aaj main aapko apni life ke kuch important pal ke bare me batana chahta hun. Kuch acchhe bhi or kuch bure bhi Jisne meri puri zindagi badal di, mere wajood ko hi badal diya. Ye story sirf mere pyaar ki nahi balki meri zindagi ki wo dastan hai jisme aapko bataunga ki Main apno ko kis tarah khoya…. Apni story shuru karne se pahle main apne bare me bata deta hun. Main C.G. ke ek chhote se ganv ka rahne wala hun, meri age 21 years hai. Mere ghar me mere alawa ma-papa or ek bhai hai jo 11th class me padhta hai. Papa former hain. Ab jyada time west na karte huye main apni story pe aata hun. Main hamesha se dusre ladko se alag raha hun, matlab ye ki mujhe jyadatar akele rahna pasand tha main kisi se jyada bat nahi karta tha isliye sabhi ladke mera majak udhate the.. School time se hi mere bahut kam hi dost hain or naye logo se khulkar bat bhi nahi kar pata tha. Jab main 12th me tha to Mere dosto ki kai girlfriends thi lekin meri ek bhi nahi thi kyoki Mujhe ladkiyon se bat karne me koi interest bhi nahi tha. Dheere-dheere time bitata gaya or 12th ka exam bhi khatam ho gaya. Ek baar papa kaam ke silsile me janjgir chale gaye the or kafi time tak wahi ruk gaye the. 2015 me start huyi meri life ki sabse badi tragedy. Exam khatam hone ke bad main papa se milne chala gaya wahan main kisi ko janta nahi tha sirf ek bhaiya the jinse main pahle bhi mil chuka tha, fir dheere dheere meri kai logo se acchhi pahchan ho gayi. Un dino Navratri ka time tha. Ek sham bhaiya mujhe bahar bhumane le gaye sham ko kafi chahal pahal ho rahi thi. Wo din mujhe aaj bhi yaad hai, us din 21 march tha. Main mandir me pray kar raha tha ki mera mobile baja… us waqt main phone utha nahi paya kyoki main prey kar raha tha lekin thodi der bad mera mobile fir baja. Maine phone receive kiya to mujhe ek bahut hi pyari si dil ki gahraiyon tak chhu jane wali aawaj sunai di, dosto sach kahun to pahle mera mobile baja or fir mere dil ki ghanti baj gayi pata hai kyo..? kyoki wo aawaj ek ladki ki thi. Us waqt main jyada kuch bol na saka kyoki mujhe ladkiyon se bat karne ka koi experience hi nahi tha. Maine phone cut kar diya. Main mandir me tha or usi waqt mere dil ne kaha ki shayad yahi aawaj hi meri zindagi ban sakti hai. Ham log wapas a gaye lekin mera dil baar baar usi ke bare me soch raha tha, pata nahi koun thi jisne pahli baar me hi mere dil ko apna bana liya tha. Main nahi janta ki wo koun thi fir bhi dobara usse bat karna chahta tha, uski aawaj sunna chahta tha. Main chahta tha usse bat karun lekin main dar bhi raha tha ki kya kahunga. Is tarah ek hafte nikal gaye par usne kabhi phone nahi kiya. Ab mujhse raha nahi ja raha tha kisi bhi tarah se mujhe usse bat karni thi. Maine kabhi kisi ladki se bat nahi kiya isliye maine msg ka rasta apnaya…
Maine use msg kiya lekin kuch din reply nahi aaya fir ek din achanak uska msg mila. Maine use mandir wali bat batayi or kaha ki mujhe tumse dosti karni hai. Usne kaha ki bina ek-dusre ko jane ham dosti kaise kar sakte hain tab maine kaha ki jab dosti hogi tabhi ek-dusre ko janenge. Usne Ha kaha or ham dost ban gaye. Usne apna name Sanjana bataya. Aise hi kuch din nikal gaye, fir usne mujhe phone kiya or kaha dosti ki hai to dost se bat bhi karni chahiye, ye acchhi bat nahi hai ki dost ko bhool jao. Uske bad aksar hamari bat hoti thi. Main usse bahut kam hi bat karta tha or fir wo gussa ho jati thi. Ek din to usne ye bol diya ki main ekdam bewakuf hun or usse bat karne ke layak hi nahi hun. Mujhe gussa a gaya or maine turant phone cut kar diya. 2-3 hapte tak bat hi nahi kiya wo msg or phone karti or main use ignore kar deta. Ek din usne kaha ki agar tum mujhse bat karne ke layak nahi hote to fir main kyo tumse dosti karti or waise bhi dost ko itna bolne ka to haq hai na. Main bhi usse kab tak naraj rahta.Uski aawaj mujhe pasand thi, wo aawaj jisne pahli baar me hi mere dil me ek jagah bana li thi. Mahino gujar gaye mujhe uski aawaj, uska gussa, or uski narajgi har cheez acchhi lagne lagi. Main pyaar se use Sanju bolta tha. Mera ek best friend hai Sunil. Main hamesha use apne dil ki bat batata tha or ye bat bhi main use batayi ki main Sanju ko like karne laga hun. Usne kaha ki main apne dil ki bat usse bol dun par main darta tha ki kaise kahunga usse or ye sunne ke bad uska kya Reaction hoga. Ek din himmat karke maine usse bol diya ki main tumhe like karne laga hun. Usne kaha ki uska ek boyfriend hai or usse bahut pyaar karti hai. Uski ye bat sunkar main ekdam se toot gaya, us din subah se sham tak maine usse bat nahi ki or fir maine kasam khayi ki main zindagi me kabhi bhi kisi ladki se pyaar nahi karunga lekin Shayad ye meri kismat ko manzoor nahi tha mujhe pyaar bhi hua or judai bhi. Ha dosto us laski ne mujhe sham ko phone kiya or kaha ki uska koi boyfriend nahi hai lekin main sirf uska dost ban sakta hun pyaar nahi. Main uski ye bat accept kar li ki ham sirf dost rahenge. Hamare bich khatti meethi batein hoti thi par maine kabhi apni dosti ki maryada nahi chhodi. Maine ek dost ke roop me har wada nibhaya lekin mera dil janta tha ki wo mere liye ek dost se badhkar thi.
Maine computer training karne ka faisla kiya or ek training centre me admission le liya.Wahan main kisi ko nahi janta tha, wo jagah mere liye bilkul anjaan tha.Wahan aksar ek ladki aaya karti thi, unka name Roshni hai. Roshni ek bahut hi simple type ki ladki hai. Wo dusro se ekdam alag hai, unki pasand unka soch sabhi simple hai. Maine pahli baar me hi Maine ye mahsoos kiya ki wo ek bahut acchhi dost ban sakti hai. Main unse daily milta or Mujhe pata bhi nahi chala ki kab Meri usse itni acchhi dosti ho gayi. Wo aksar mera moral support karne lagi or main dheere-dheere apne batch me sabse aage ho gaya. Roshni hamesha bolti aap sab kuch itni jaldi kaise kar lete ho, aapka confidence dekhkar mujhe aapse jalan hone lagi hai or main unki bat ko muskura kar ignore kar deta tha. Unhone hamesha meri madad ki or main unki respect karne laga. Sanju aksar mujhse bat karti thi,Main to dost bana raha lekin wo badal chuki thi. Ek sham main kuch kar raha tha ki usne mujhse kaha ki ek jaruri bat batani hai, maine puchha kya bat hai bolo. Pahle to usne mujhse narjgi zaheer ki, gussa dikhane lagi or fir kaha ki mujhe tumse kuch kahna hai. Main kaha Ha bolo main sun rah hun, Tab usne apne dil ki bat kahi.Usne kaha mujhe kisi se pyaar ho gaya hai. Main majak me puch liya ki wo badnaseeb koun hai jise tum jaisi pagal ne pyaar kar liya.Wo gussa ho gayi or kahne lagi khabardar jo uske bare me kuch bhi kaha to.. fir pyaar bhari aawaj me boli tumhe janna hai na wo koun hai to suno wo badnaseeb tum ho jise maine pyaar kiya hai. Uski bat sunte hi Ek pal ke liye main tham sa gaya. Mujhe to aisa laga jaise ye pal hamesha ke liye yahi tham jaye. Jab usne mujhse apne dil ki bat kahi Wo meri zindagi ka sabse behtareen pal ban gaya. Main to use pahle se hi chahta tha lekin jab usne mujhe apne pyaar ki bat kahi to main apne emotions par control na kar saka, meri aankh puri tarah se nam ho chuki thi fir bhi maine kaha ki tumne to kaha tha ki main kisi se pyaar nahi karungi fir ab kya ho gaya, Ab kyo bol rahi ho tumhe mujhse pyaar hai. Wo kahne lagi us waqt pyaar hua nahi tha lekin ab to pyaar ho gaya hai na, main tumse sach me pyaar karne lagi hun. Apne pyaar ki wajah se maine uski bat accept kar li. Wo bahut bolti hai or us din bhi bahut kuch boli ki ab koi bahana nahi chalega main jab kahun tumhe mujhse bat karni padegi or dekh lena ab to main tumhe subah-sham pareshan karungi or tum bhi mujhe mana nahi kar sakte. Maine bhi bol diya ki jitna chahe pareshan kar lena. Us din se subah-sham mujhe phone karke tang karne lagi. Waise ek bat to hai mujhe uska pareshan karna bhi acchha lagta hai. Uske gusse, uski narajgi me bhi pyaar najar aata hai. Jab wo meri zindagi me aayi meri zindagi hi badal gayi main bahut khush rahne laga. Sanju aksar mujhe msg kiya karti thi or puchhti rahti thi jaan kaise ho, kya kar rahe ho, tumhe meri yaad nahi aati, I miss you jaan… or main bhi uske msg ka reply karta tha. Main use bahut chahne laga tha, shayad sabse jyada use pyaar karne laga tha. Main pyaar se use Sanju bolta lekin usne kabhi mujhe name se nahi pukara wo to hamesha jaan, dear, sweetheart bolti thi. Dosto ek bat or Sanju aksar koi bat jyada time tak yaad nahi rakh pati thi, aksar wo batein bhool jati thi. Main hamesah uski bhoolne ki aadat par majak udhata tha or uske jawab me bas itna hi kahti main bhool gayi to kya hua tum ho na mujhe yaad dilane ke liya, main uski unhi attitude ki wajah se use pasand karta tha. Meri zindagi bahut acchhe se gujar rahi thi ki wo waqt bhi a gaya jab Sanju se juda hona tha. Un dino mujhe kuch ajeeb sa feel ho raha tha, meri family me kuch problem chal rahi thi. Mujhe lagne laga tha ki mere ma-papa mujh par jo bharosha karte hain main wo bharosha tod raha hun jo sahi nahi tha. Mujhe ye lagne laga ki mera Sanju ke kareeb rahna meri family ke liye problems create kar sakta hai. Main apni family ko pareshan nahi kar sakta tha or Sanju se bhi door nahi hona chahta tha. Main kashmakash me uljha gaya. Mujhe laga Sanju se is bare me bat karni chahiye, jab bhi main usse bat karne ki koshish karta uske chehre ki Hansi ki wajah se chup rah jata. Main uski khushi ko khona nahi chahta tha lekin mujhe usse bat karni thi. Ek din maine Sanju se bat kiya or kaha ki main ek middle class family se hun or meri apne family ke liye kuch responsibility hai isliye main tumhari zindagi se door ja raha hun, maine tumse pyaar kiya hai fir bhi ham dono ko juda hona padega…
dosto maine apni Sanju hamesha muskurate huye acchhi lagti thi ya fir gussa karte huye lekin pahli baar uski aankho me aansu the or un aansuo ki wajah main tha. Wo rote huye kahne lagi- Tum dhokebaaz ho, tumne mujhe dhoka diya hai. Jab tumhe mujhse alag hi hona tha to fir mujhse pyaar kyo kiya. Tum sirf apne bare me sochte ho or tumhe kisi ki feelings, jazbaton ki koi parwah nahi hai. Ab main tumse hamesha ke liye door chali jaungi or fir kabhi bat nahi karungi, Ek bat hamesha yaad rakhna jab kisi se pyaar nahi kar sakte to pyaar ka dikhawa bhi mat karna…
Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin
Bhai jisse pyaar karte ho us ke liye tum aansu bahao lekin use anasu mat bahane dena.ye hi pyaar hai. I would have written that in English but Raj you made me remember my love. Things get better with time. Good luck.
hiii bro
That’s very immature.tum saath rehkar bhi bahut kuch Kar sakte the..but think over..anyways tum phir se patch up Kar sakte ho or dono responsibility nibha sakte ho.. Trust me.. Good luck
Bhut mugrur hu me sayad,tere khayalat
Ese the par tu kya shamjhe meri uljhan
Mere halaat kese the.
waa waa kya sayri h
Thnx surander singh ji.have a nice day!
osm story yalll
Zindagi aisi ziyo ki koi hase to tumhare wajah se
tum par nhi,
or koi roye to tumhare liye
tumhare wajah se nhi
Wow …like it
Suna hai matlab bhut wajandaar hota hai,
Nikal jane ke baad har rishte ko halka kar
Deta hai.
…………………………………..
Jald milne wali cije jaada din tak nhi calti
Aur jo cije jaada din tak clti he wo jaldi nahi milti.
Hai dosto agar pyar karo to saccha…pyar kisi ko dhoka dene bala nahi..