hello dosto mera naam ankit hai , pyar se log mujhe chintu kahte hai , mera height 5’9″ aur weight 75 kg , mai halka gora huun par jyada sundar nahi lagta huun , bas body acchi hai , mai delhi ka rahne wala huun. Mai abhi b.tech 6th semester me huun. mai aap logo ko apni sacchi kahani sunane ja raha huun , dosto yeh baat 2008 ki hai jab mai 10th me tha ,uss samay naya naya mobile mila tha parents ki taraf se, maine ek multimedia set liya tha , maine usme net chalana suru kar diya , maine ek site par chat karna suru kar diya, par waha jyadatar ladke hi the bohot chatting karne par mujhe ek ladki mili. Maine uss ladki se chat karna suru kar diya ,uska name shreya tha woh bhi delhi se hi thi , wo us samay 9th me padhti ,uski 2 bahan thi aur 1 bhai , maine suru 2 me socha tha ki sirf dosti karunga par uss se baat karte karte mujhe uss se pyar ho gaya par maine use yah baat nahi batayi ,
mai subah se sham tak online rahta tha sirf uske intezar me aur jab wo online hoti thi toh mai uss se bohot baat karta tha ,ham logo ne apna apna picture share kiya par use bohot manane par , aise hi baate hoti rahi takriban 1 month tak isi bich maine uss se uska mobile number le liya bohot muskil se aur bharosa dilakar , hamlogo ne suru suru me sirf sms se baat karte the par fir dhire dhire phone par bhi hamare baatein suru ho gayi. Pahli baar jab uska call aya toh maine receive kiya uski awaz bohot ki sweet thi aisa laga jaise uss se hamesa baat karte rahu , pahli baar hamne 4:13 minute baat kiya tha, uske baad roz 5-6 minute baatein hone lagi.Maine yah baat apne dosto ko batayi usne kaha i love you bol de maine bol bhi diya par usne kuch nahi kaha aur uske baad wo mujhe ignore karna suru kar di, mere 5-6 call karne ke baad wo phone uthati aur baat karne se mujhe aisa lagta jaise use baat karne me koi interest nahi hai
aur mere sms ka bhi reply nahi karti , par phir sab , mujhe yaad hai wo ek din maine use caal kiya par phone kisi boy ne uthaya , maine uss se baat ki wo bola mai uska bhai bol raha huun aur kabhi phone ya sms mat karna , par phir bhi mai sms karta tha phir maine socha ek din kyon na call ki jaye toh woh number switch off tha, mai har samay call karta par number switch off , mera toh dil hi tut gaya , maine 2 din tak khana bhi nahi khya par wo lautkar nahi ayi , aaj bhi dil rota hai uske yaad me
Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin