💘 Discover a Heartfelt Story: Meri aashiqui ab tum hi ho 2 - Samar
happy ending love story in hindi

Luck – A Happy Story – Sid

happy ending love story in hindiHappy Ending Real Love Story in Hindi 

Hello, I am Sid. (real nick name!)…
Sorry, story thodi si lambi hai…) Mai hamesha se ek aisa ladka raha tha jo lime light me ho, mai apni school ki cricket team me ek accha bowler tha, aur padhai me bhi mai kafi clever raha hun, maine MBA kiya hai…aaj mai apne papa ka chhota sa business chalata hun, jo ki kamal ka hai… ham middle class se hi hai, par lower middle se nai… we are rich enough to live a very happy life…aur mai abhi khushi se apni life ji raha hun.
Jab mai school me tha tab meri class me ek girl padha karti thi, uska “nick name” tha “priya”… wo girls me sabse clever thi, pr wo akele rehne walo me se thi, sb uske sath acche se hi rehte the, aur wo sb k sath ghul mil jati thi, pr uska koi best friend nai tha, but, after all she was so cheerfull. Lekin jaisa ki sb jante hai, aksr teenage me boys & girls ek dusre ko superior sabit karne ko ladte hai, toh meri aur uski bhi khas banti nai thi, aur waisse bhi hm sb un boys me se the jo ladkiyo me dilchashpi nai lete the, aur jo boys ladkio k pichhe bhagte unko ham “lafange” keh dete, sochte k in logo ko iske alawa kuchh nai aata. Ham sincere boys the.
10th me aane ke baad mera aur priya ka “cold war” shuru hua tha, ham koi dushman toh nai the, na hi kabhi baat krte the, pr exam me class me top krne me ham hamesha compitition me hote the.
Ham dono 10th me acche % se pass hue, aur dono ne 11-12th me biology wala stream rakha. Mai usse jyada clever ho gaya, kyunki mujhe physics bhi aata tha, hamare class me bahut compition thi, mai mushkil se 5th ya 8th rank lata aur wo % to kafi la deti par top 10 me aate-aate reh jati, aise hi hamara school overhua.
Phir 11th me bhi ek ladki ki taraf thoda attract hua tha, wo mere coaching me aati thi, ladki sharif thi, ham dono ki kafi bann’ne lagi thi, mera pahela kiss bhi usike sath hua tha  pr mai use leke serious nai tha, mai use dhoka dena bhi nai chahta tha, pr padhai k chakkar me ham alag ho gaye, agr 12th k baad ham contect me rahe hote toh shayad mai aaj tak usike sath hota! Kya pata! Pr us wqt “personal” cell phone nai the, mere ghar toh landline tha… mobile toh sirf dad rakhte the. mai bhi use dhire dhire bhul gaya. I hope wo bhi khush ho apni life me!
Well, 12th me mere 86% aaye, par mujhe granted MBBS me admission nai mila, maine socha ki AIPMT dunga next year, pr mujhe ek saal intazaar krne ka man nai tha, toh maine papa ko bola ki mai B.sc join karu baad me MBA karunga! Wo bhi man gaye!
maine B.Sc ( MBC- microbiology, botany, chemistry) join kiya. jb maine B.sc me addmission liya toh already mai 2 month late tha, pahele hi din mujhe shock laga. Maine wahan priya ko dekha. Mujhe acchaa nai laga itni clever girl yahan padhti ho, mujhe toh laga ki wo pakka doctor banegi. Uski bhi same prob. Toh usne bhi B.sc (same subjects) jon kiya tha. Jab 2nd day pr mai apne naye class mates ke sath betha tha tb wo aayi aur wahan k ek boys se kuchh baat karne lagi, usne bhi mere samne dekha, aur hamne just formality talk ki… fir dhire dhire hm sabhi dost ban gaye, (ab hamare pas personal cell phone & internet, FB sab aa gaya tha! Uske pas nai tha, par SY me aa gaya tha.) wo aksr girls ke sath rehti pr hamare college me almost har koi ek dusre ka friend tha,,, ab hm gul mil gaye the, aur mai aksr use chidata ki 1st toh mai hi aaunga. Ham aksar ek dusre ki “taang khinchai” krte.

…meri aur priya ki dosti bahut badhane lagi thi, ham dono aur hamare do friends aksr sath hi rehte, pr SY me hamne subject change kiye, usne “MB” rakha aur maine “CB”. isliye hm sirf “B-botany” me sath lec. Attend krte, tabhi dhire dhire priya ko dekh k lagne laga ki wo kuchh feel karne lagi hai mere liye… mai use ek Best friend manta tha aur kuchh nai. SY aadha ho gya tab tak mujhe pakka pata laga ki priya mujh se pyar krti hai. Mai use hamesha ek acchi girl samjhta tha, lekin Mai hamesha chahta tha ki meri life me koi aisi girl ho jise mai tut k pyar karu. aur wo girl priya nai thi.!

Priya waise toh kafi bak-bak & childish masti krne wali bold ladki thi, pr wo in sab mamlo kafi sharmili bhi thi, boys k sath uska flirt kabhi nai hota tha. Sivay ki mai use padhai ko leke tang karta par ab toh subject bhi change the toh compition bhi nai thi,,,
Ham dono bahut baate karte. Wo indirectly mera bahut khayal rakhti, aue kabhi mere pichhe NAHI padti thi. Mujhe koi bhi taqleef na ho us tarah se wo mujh se silent love krti thi… aur chhupane ki puri koshish me lag jati… mai usko bura na lage is tarah se uske sath pesha ata, aur dhyan rakhta ki meri koi bhi act use “hint” jaisi na lage, aur usko aise avoid krta ki use pta tk na chale.
wo meri one & only dost thi toh mai bhi uske sath baat kare bina rah nai pata tha. Aur jb koi girl aapse itne acche se behave krti ho, toh aap chat krne se kaise reh pate ;-P Mai college me bhi apni cricket team ka bowler rehta. Aur mai sports me bhi kafi accha tha. Wo meri cricket match dekhne jarur aati. Apne kuchh friends k sath…

Fir holidays shuru ho gye. 20 days k. Mai aur wo dono apne hometown gaye, aur mai wahan se uske sath bahut baate karta. Chatting karke. Hm har topic ki baat krte, future plan se leke crush (maine apne wo crush k bare me bataya), love, movies & all. Maine usko bola bhi tha ki tera koi crush hai kya? Pr wo mana kr deti, bolti ki abhi kuchh socha nai hai in sab k bare me. Mai bhi usko hurt krna nai chahta tha, so mai jyada nai puchhta tha,. ham late night tak baate krte rehte. Holidays k baad ek din usne mujh se kaha ki usko mujh se koi baat krni hai,,,

Mujhe pata tha ki kya bat hogi. Maine net pe search kiya ki “ladki ko hurt na ho us tarah se “NO” kaise bole” Phir maine wo net wala trick use krne ki sochi, maine usko bola ki “thik hai, pr mujhe kal aur bhi jaruri kam hai toh mai bahut jaldi me hun, jyada wqt nai hai, agar tum phir bhi chaho toh mai 5-10 minute k milne liye aa skta hun” Wo man gayi. Mai dusre din gya, mujhe uspe taras aata tha, mujhe pata tha ki onesided love ka dard kya hota hai… (apne dosto k one sided affairs ki wajah se)

Mai aisi acting kr rha tha ki jaise bahut hi busy hun, mujhe uske liye bura bhi lag raha tha aur khud k liye bhi ki yar kahan fas raha hun! Pahele toh “hi-hello” kiya. Fir maine puchha “bolo kya hua hai?” wo bahut hi nervous thi, aisa lagta tha jaise ki ro padegi, mai toh wahan se bhaag jana chahta tha. Wo kuchh boli nai. Aur mere samne dekha, maine baazi sambhali aur bola “jaldi bataona” usne kaha- “kuchh nai”. Mai bhi kafi confuse & khamosh tha aur wo toh aisi nazar aa rahi thi jaise ki puri raat soyi hi na ho aur roi ho… fir maine kuchh formality ki 1-2 baat ki, usne bhi. Mujhe laga ki ab wo nai bol payegi, mai khush hua ki chalo ab kuchh nai hoga, par phir maine socha ki aaj toh baat khatam kr hi dete hai, at least aaj k baad wo mujh se ummid toh na kregi… phir maine kaha “tumhe kuchh kam tha na” “batana padega?” mai kuchh bola nai aur idhar-udhar dekhne laga. Fir usne kaha “tum jao, tumhe jaldi ho rhi hai na” mai chahta tha ki use dilasa dun, par mujhe laga ki mai jaise hi kuchh soft-soft bolunga wo ro padegi, toh maine bhi bola ki “ok”. Hamne BYE bhi bola, par hamari nazre ab ek-dusre pe thi, usne niche dekha aur phir achana k se boli,,,“wo mai…” tabhi maine bola ki “chal mai chalta hun”… mai jane k liya muda tabhi mere phone me msg aaya ki “I love you, I know you don’t, its ok, mai bas tumhe batana chahti thi!” maine uske samne dekha, wo toh niche hi dekh rahi thi, mujhe laga ki yeh msg shayad usne kal raat ko type krke rkha hoga. Maine use bola “hey look, plz don’t be upset, I’m sorry but…” tabhi usne bola “its ok, its not your fault…”wo almost ro padi, badi mushkil se wo apne aansu rok rahi thi, phir finally usne kaha “tum jao…” mai bhi kya krta, so mai bhi “are you ok?” she said “yeh, I’m fine”… and she wiped her tears. Mai bhi “take care” bol k chala gya.
Mujhe laga ki yar ab gayi friendship kam se, tut jayegi.! wo dusre din college me waise toh thik hi thi, par mujh se nazre nai milati thi. Phir wo dhire dhire relax ho gayi, par ab friendship utni bhi close nai rahi thi, kehne ko toh wo ek hi meri dost thi.
waise bhi mai 12th k baad hi se bahut akela mehsus karta tha, mere parents ka mujh pe koi dabaav nai tha ki unki pasand ki ladki se hi shaadi karu ya aisa kuchh…

Phir mai aur priya as usual baate krne lage, maine socha ki ise meri wajah se kitni taqleef hoti hogi.!
“Days celebrations” wqt aaya, usne hamesha ki tarah kisi me bhi participate toh nai kiya par wo ek programme k “anchoring” me rahi aur usme wo saaree pahen k aayi. Mujhe wo bahtu pyari lagi, hamesha ki tarah. Wo mere se sharma rahi thi, par bechari bahut hurt bhi thi. Maine usko ek baar bhi compliment nai diya. I know wo taras rahi hogi mere comment sun’ne ko.
Dusre din usne elocution me part liya tha aur wo jeet gyi, maine use greet kiya. Ab “days celebration” khatam hue. Aur ham aane wale month ki exam me lag gaye. Ham botany me drawings banane me lag gaye, aur wo kam library me hi karte.
Ab maine socha ki yaar Mai padhai me bhi clever hun, agar aisi hi clever & good girl agar mujh se pyar karti ho toh kya problem hai, aur mai apne waado ka pakka hun, wo mere sath khush reh sakti hai, Mera ghar bhi kafi accha hai, meri sirf ek chhoti sister hai aur 1 married cousin brother and her young sister. Mere dosto ne bhi kai baar mujhe yeh bataya tha. Un sab ko priya pe bahut taras aata tha. Aur isiliye wo bolte the ki mai priya se commitment karu to ham dono khush rahenge!.

Ek din mai subah college khula usse pahele hi cricket ground k pas wale tress k pas jake betha aur apna kaam karne laga. College start hone k wqt pe wo paidal college jati nazr aayi. Maine uske notes liye hue the, copy karne ko, toh maine lautane k liye use bulaya. Us din usne white salwar, white kurta & red dupatta wala suit pahena tha… aur baal khule the, wo kafi cute lag rahi thi.
Wo din pura hamne sath bitaya, college me bhi.! Fir ghar jate wqt maine jab use bye bola toh wo bahut nervous lag rahi thi, phir se wo ronewali shakal. Maine use kaha ki “chal tumhe ghar k raste pe company dun?” … (mai bhi un dino auto me hi aata tha, kyunki mere papa srtictly mante the ki yeh umar bikes chalani ki nai hai, auto me jao.) usne mana kiya par maine bola auto stand tak toh chal… auto mil jaye tab tak! (auto stand se ham dono k ghar opposite direction me the)

Continue with the “sad love story with happy ending in hindi” at TheLoversPoint.com #1 place to read real love stories

Maine college se uske auto stand tak jane ko cricket ground wala rasta hi chuna aur jab ham trees k pas pahunche tab maine usko bol diya ki “I’m sorry meri wajah se tumhe bahut hurt hota hoga” wo samjh gayi ki mai kis bare me bat karta tha. “agar tum chaho toh mai commit kar sakta hun” usne kaha ki “nai, koi jabardasti nai hai, I know you don’t feel the same, and its ok”…maine bhi bol diya ki “yar par meri life me tere alawa koi nai hai, aur mai tumse kabhi fraud nai karunga, kabhi kisi baat pe tang nai karunga, mai un ladko me se nai hun, trust me!”… wo fir rone hi wali thi ki maine bol diya ki “ I don’t wanna lose a girl like you, It will take a time for me to love you, but give me a chance”,,, wo bhi mujh se pyar karti thi toh kya bolti “haa ya na”!!!…
maine bhi usko kuchh jyada tang nai kiya. Par ab ham bina kisi “haa-naa” k bhi ek sath ho gaye the, har subah aur sham mssgs, har roz baate, utne me internals exams aa gaye. …… ham science walo k liye “proposal” ka sabse acha wqt hota hai— “practical exams” (agar theory k baad ho toh). Toh jab exam khatam hue toh maine bola ki padhai k chakkar me dosto ko bhul mat jana.wo mera ishara toh samajh hi gayi thi.

Now aage kya hua hoga, you all can imagine 😀 … ab ham dono bahut khush the, halaki hamne abhi tak pyar ko admit toh nai kiya tha, par bolne ki jarurat hi nai thi. Externals aa gye, hamne baate kam kar di, padhai pe dhyan diya, Aur phir aaye external practicals, mai exam k wqt papa k bike leke aane laga. hamne practicals k baad k din ghar pe juth bola ki abhi exam chalu hai. (dusri batch k toh chalu hi the! Toh juth thodi na bola hai:-P ) Aur ham wo tress k pas mile, aur phir college k classroom me gaye! Haan, kyunki, exams k wqt wo khali hote hai, sabhi laboratory me hote hai, toh hamne classroom me wqt bitaya. Finally ham ek café me gaye, aur accha khasa khana khaya aur baatein ki, dher sari.

Phir ham alag hue, maine use uske auto stand tak apne bike pe drop kar diya, aur wo auto me bethi aur chali gayi tabhi maine usko msg kiya ki “I will miss you” taaki usko goose-bump mile. 😉
Phir holidays aa gaye, bahut miss kiya, bahut chatting kiya. aur phir aaya TY. Jab mai pahele din college gaya toh meri nazar usi ko dhund rahi thi, aur jab wo aayi tab wo as usual thi, par jaise hi hamari nazar mili ki wo sharmane lagi, mujhe bada maza aa raha tha use mere liye sharmate dekhne me. Ji karta tha ki abhi use gale laga lu, par aisa possible nai tha, admission form k baad hi maine usko milne ko bulaya aur cricket k pas wale wo tress k pas, maine use hug kiya.

TY me Usne “microbio.” Rakha, maine “chemistry”. par phir bhi milana toh banta hi tha, mere dosto ko bhi bahut jald pata chal gaya ki ham dono ab saath hai, wo bahut darti thi ki log uska mazak udayenge, par aisa nai hone wala tha, kyunki wo bahut acchi ladki thi aur sab yeh jante the. Uski micro ki proffesor madam ko bhi hamare bare me pata tha.
Mujhe pata hai ki girls ko safe & secure future wala life partner chahiye, mai us wqt toh shaadi k liye ready nai tha, par usi se karunga yeh pakka tha toh maine bhi usko apne plans bataye, aur usne bhi bola ki uske family wale jyada virodh nai karenge. thoda manane pe man jayenge.

Phir toh TY acche se gujra, 6 months k baad maine usko kiss bhi kiya, movie bhi dekhi, wo bhi mere sath “action movie” dekhne aa jati, paiso ka toh koi jyada prob. Nai tha, ham dono middle class ke the, par ham unse jyada rich the. Wo kabhi mere se paise nai mangti thi, par movie ka bada kharcha mai uthata tha. Baki sab me wo barabari ka chukati aur mai bhi uske self-esteem ko dhyan me rakh k use mana nai karta tha.

Apne flat ki chaabi maine papa ko “padhai” k liye bol k rkh li thi, jahan aksar ham mila karte, par maine use kabhi uncomfortable mehsus nai hone diya aur ham limit me rahe… Haan,kabhi thode hugs & kiss ho jate…Par aksar ham wahan apne assignments over karne jate, kaam bhi ho jata aur baatein bhi.

Aise hi TY gujra. Aur haan, exam ka result.…Apne department me Wo top-3 me, aur mai top-2 me.
TY k baad jab ham lambe holidays k baad wapas aye, toh ham phir thoda gumne gaye aur fir wahin- mere flat pe milne gaye, and……. we crossed all the limits… pata nai kyu par ham khud ko rok nai paye, bahut pyare pal the wo.
Phir maine CMAT diya aur MBA join kiya. Usne M.sc join kiya. Kafi busy the, par fir bhi ham milte the, maze karte the. Aur aane wali life ka sochte. Thode bahut fight bhi hote, pr aksar wo apne aap hi sulaj jate, kabhi koi serious fight toh aaj tak nai hua, mai usko hurt na ho uska pura dhyan rakhta tha.

Fir toh bahut chize hui, sari toh nai bata sakta, par life un dino me acche se guzri, wqt mila toh koi aur story likh k bataunga ki kaise mere aunty mujhe uska naam leke mujhe chidate thi and all.

Finally mera MBA & uska M.sc khatam hua. Maine papa ka business join kiya, jo ki mera sapna tha. Usne Msc complete kiya. (maine apne parents ko uske bare me MBA k 2nd year me bata diya tha) abhi meri age 24 thi, maine socha 25 pe shaadi krunga. Wo aage Ph.d bhi karna chahti hai. mai bhi kehta tha ki Job ki chinta chhod k aage ki padhai karti raho. Mera 24th year chal raha tha tab hamari engagement hui. Aur phir 25th aadha hone pe shaadi…! She is doing her Ph.d. I’m doing my dad’s business. And we are happy togather… our families also!

Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin

50 thoughts on “Luck – A Happy Story – Sid”

  1. Congratulation man fr your engagmnt, n thats very sweet n cute love,…
    I’ll pray that you both get married as soon as possible and give u both endless happiness….
    Bless you… Woww man

  2. thank you so much…
    but we are married. 🙂 march k last week me hui hai shaadi… actually october me karne wale the, par march me ho gayi…
    jab maine tumhari comment padhi thi mujhe laga tha tum pakka meri “cousin brother” wali galti nikalo ge, 😛 …

  3. Hahaha, y would i do that, u narrated your story so well, n each n every lines makes me curious what gonna be happen next…..
    Anyway congrats both of u, stay blessd

  4. yar log teri story ko kuchh bhi bole toh kya jab post ki thi tune tab tujhe pata nai tha ki har tarah log ise padhenge aur comment karenge? agar log use fake bata rahe hai toh batane de!…
    aur tujhe kya lagta hai, gaaliya dena sirf tujhe hi aata hai. ham shuru kare gaali bolna? puri 500 sunaunga aur ek bhi repeat nai hogi… sharafat se bol raha hun kam se kam rakh…thik hai.

  5. Bahut achhi kahani thi Sid bt mujhe ek baat buri lagi ye k aapne apni priya k liye ye ‘Taras’ naam ka jo word use kiya h wo bilkul thik ni h bro kya aapne priya ji pe taras kha kr unse shadi ki ? Unke sath relashionship me aaye ? Aap v wai feel krte the jo priya krti thi tbhi aap dono aaj happy married couple ho . Give her some more respect nd taras naam ka word unke liye dobara use mat kijiyega plz aur han agar wo ye story padhengi to unhe hurt hoga so kuch changes kr ye story fir likhiye aur fir unhe sunaiye , she will very happy aur unka pyar aur respect aapke liye aur badhega thank you..

  6. well, rohan…i understand what you are saying…. but, na, maine aisa isliye kaha tha, kyunki us wqt wakai me mai use pyar nai karta tha, toh mujhe uspe taras aata tha ki yeh meri wajah se poreshan ho rahi hai,.. aur mujhe guilty bhi feel hoti thi… isiliye mujhe taras aata tha ki jis chiz me uski koi galti nai hai uski wajah se wo itni pareshan ho rahi hai… maine taras kha k haan nai bola tha, apni marzi se bola tha…. agar taras kha k haan bolna hota toh usi din bol diya hota, mai to faayde me hi tha, par mujhe aisa nai karna tha

  7. aur…….usne mujhe samne se propose kiya us baat se hi mai uski aur bhi jyada respect karne laga kyunki wo in sab mamlo me kafi dur-dur rehne wali ladki thi, itna bada kadam uthana uske liye aasan nai hoga,,, …baad me fir mujhe khud pata nai chala ki mai kab usse pyar karne laga, even aap story dhayn se padho, maine bola hai ki jab wo “white suit with red dupatta” me aayi thi, us wqt bhi maine use bola tha ki “it will take time for me to love you”, matlab us wqt bhi mujhe pakka pata nai tha ki mujhe pyar hua bhi hai ya nai… (haan, us din mai usse bahut attract hua tha!) so maine jab attaraction feel kiya tabhi maine uske sath relation joda… aur maine soch samjh k joda tha,,, mujhe pata tha ki ek bar haan bolunga toh life-long usi k sath rehna hoga…. i can’t hurt her yar, i love her…. she knows everything…maine use bataya tha ki mujhe us din tumpe taras aata tha… I do respect her…

  8. @aryan…. Muh pe aise thapade maarunga, bajne ar bajane layak bi ni rahega, tujhe kya lagta h bhosdike gaali dene se tu stud ban jayga,,, it shows ur charactr,, tera charactr hi dheela h,…. Chutad tatti saale…ab bakle jitni gaali bakni h because atleast i’ll not bothr to come back to see ur commnt, Ar haa ek last baat ” teri maa ka bhosda”…

  9. no rohan, no need to say sry. i understand what you were trying to ssay, even the same thing was running in my mind when i proposed her!
    thank you.
    thank you bikas…

  10. Sid nd priya i dont know who r u bt i know that u both true love birds…….god bless u in each nd evry second…….aapko yeh jankar bda ajeeb lagega ki i m 15 years old …….ek 15 years ki ladki aapki story mai dilchaspi le rhe h bt yr ur luv stry is awesome nd super se uper

  11. thanks ela, but one advise… 15 year ki age pe study pe dhyan do, stories chhodo, aur…. real life bahut alag hoti hai,,, sab stories ko padh k tumhe pata laga hoga ki most of sabhi “sad” hai… so plz aisa mat socho ki koi aapko kisi movie k hero ki tarah pyar karta hai to wo sahi hoga… ham na toh shahrukh hai na toh edward … ham boys bahut alag hote hai… gusse wale, thode se careless, thode se soft.. aur kafi kuchh…. in sabhi chizo ko hamesha dhayn me rakhna… ok… aur study pe dyan do, tumhara 10th ya 11th chal raha hoga na..

  12. Ys i m in 11th class……….yr i know ki sbhi boys different hote hai…,.isliye abhi tak bf nhi bnaya ..mare mostly hr frnd ka bf hai bt mera nhi bcoz i m waiting for my prince charming

  13. stop waiting for prince charming… we boys are just boys… & wee are also human,,. don’t expect a lot… 15 year BF ho aisa jaruri nai hai… milega, wqt aane pe… aur na mile to hi don’t worry… husbands are more reliable than BF 😛

    1. Hahahah shutup Sid…. She educated girl…. Ela do whatevr u want….n
      When you’re young everything feels like the end of the world. But it’s not it’s just the beginning, you might have to meet a few more jerks. but one day you’re gonna meet a boy who treats you the way you deserve to be treated. Like the sun rises and sets with you.
      Stay spark n blessed …….

  14. Hahahah shutup Sid…. She educated girl…. Ela do whatevr u want….n
    When you’re young everything feels like the end of the world. But it’s not it’s just the beginning, you might have to meet a few more jerks. but one day you’re gonna meet a boy who treats you the way you deserve to be treated. Like the sun rises and sets with you.
    Stay spark n blessed …….

  15. hey, kanishk, you are right …
    & i know she is an educated girl… i just gave her an advise so that she can be stay away from those jerks & reconise the true one!…
    and maine aisa nai likha tha ki “na mile toh hi don’t worry” … maine “to bhi” likha tha.. its by mistake!
    merra abhi abhi dhyan gaya uspe… 🙂
    and what i said wrong yar… some girls expect a lot… 😉
    btw, stay blessed Ela…

    1. @paras
      Story likhne k baad Maine 1-2 mahine k baad ise dekhna bhi band lar diya tha…
      Aaj achanak se dekhna ka man hua Aur Tumhari comment dekhim
      Nearly Ek sal bad kisine is story ko Padha. Feeling good.
      Warna kon purani stories ko padhta hai…

      By the wah thanks!

  16. very nice nd cute love story…..i love this story.
    stroy like a shweet dream…..” bless you…both of u like love birds…..stay blessed

  17. Bohut achha laga aapka story padhka….aapki love story bohut sweet hain,,,kaash har kisi ko asa hi life partner mila……god bless u frnd

  18. Pyar to sayad sbko hota h kisi ka pyar life k end tak jata h or kisi ka pyar life ko end kar jata h…
    Love is depend on trust care n responsibility.
    Afsos kuch log pyar se door bhagne k liye majbooriyo ka shara lete h.

  19. I have a habit i.e. reading love stories with happy ending,which i get from your story aur ek baat story jitni bhi purani ho agar bo achha hai toh logon ka padhna aur na padhne se kya fark padtahai.

  20. I have a habit i.e. reading love stories with happy ending,which i get from your story aur ek baat story jitni bhi purani ho agar bo achha hai toh logon ka padhna aur na padhne se kya fark padtahai.Be proud for such type of story for it’s immortality.

  21. Lastly be happy with priya.I have a request if you read my comment please reply me with your number.stay safe with her.Thanks for this story.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *