💘 Discover a Heartfelt Story: Effect of true love - Young writer

love is can be die – gagan from cuttack

Hi, i am gagan from cuttack.i studying b.tec from gift (delhi). ma ek accha student hun ,
such bolu to ma love ko kabhi belive nahi karta tha, but love ek asa bimari ha jo ki har kisi ko bhi hosakta ha ya hi mujha b hua tha. ya mera story ha 2013 ka jab ma b.tec secondry ma tha, ma delhi ma hostel ma raha kar padhrahi thi. Ek din mera close friend basnt ke bahan sadi hona bala tha to mujha ivite keya aur ma 2 din pahale uska ghar (bbsr) chala gaya ma usdin kaphi niras tha bt wohi time par ek ladki ko dekha me usa dakh kar hos hi khogay mujha asa laga wo mera lea hi us sadi ma ayi thi. jab rat hoi ma aur basant sona chaligaya basant ka room ma,ma basant ko pucha basant apki ghar jo ladki aya aj wo kan ha,kan wo mera mama ki sala ki bati uska nam ha”” khusi”” wo lok delhi ma rahate han ma wo sun kar aur khus hogay ma pucha wo padhae keya karta he to wo bola +2 (sc) karraha he delhi me etna bol ke wo sogaya keyun ki wo tyed tha, jb wo mujha sare bat bat dia mujha laga ki use ma janchu ka hu aur us rat mujhe nind nahi hua sirf uska bare me hi soch raha tha fir subha hue paha le uth kar fresh hua uske bad ma us ladki ko khoja bt wo nahi dikhae da raha tha ea dkh kar basant mera pass aya aur bola ki khusi ko dhund rahi ho ma bola han yer pliz bata na wo kidhar ha wo bola upar ha ja ke mil aaa usa tujhe sakun miljaga ma aur bhi khus hogaya ma nikal gaya upar uske sath bakt bitane bt uski sath ma wahatak bat

nahikartithi mujhe bahat norvos lagraha tha uske satha bat karna me confidanc ke sath upar chala gaya aur deka wo upar ekaali bathi thi,ma bhi gaya mob hatme rakha kar gaya aur udhar jake fake cell ke satha bat keya mera baat sarna ke bad wo mujhe bulaya hello, ma bola hii tabhi wo bola ap basant bhaya ki friend ho jo delihi se aya he (ma wo time bahat accha laga asa laga ma kucha kaha nahi sakta) ma bola yes i am wo bola okey ma gaye thi uske satha bat karne bt wo okey bola ke mujhe confuse kardia ma uska intruduc manga to wo bola ma khusi hun dilhi sa aya hun aur ap ma gagan ma bhi dilhi sa aya hun wo us din ham lok kaphi bat ki aur friend bhi hogay dono. sadi sa paha le mujhe usko propose marne tha to ma rat ko pucha khusi apki koi bf nahi ha wo bola nahi aur apki gf ma bola nahi he gf to wo bola ma ban jauu apki gf ma re chara pa smile agay aur me has na lagi mera has dakh kar wo bola keyun keya hua mare under kuch kami ha jo apki gf nahi ho paunga ma bola asa kuch bat nahi ma apko 1st time dekha to us din sa apke sath love hogaya tha aj kahane bala tha ap kahideaya to mujhe has lagi wo bola choda wo bat ma bhi apko dakh ta hi pasnd karna lagi hun ok ma bola asa bat ha wo ans dea

yaaaa,to fir ham lok ghar ke upar chaligay aram sa bat keya us din mera sab sa accha memoriable day ha us din ham lok bat kar kar ke romanch b keya ham dono lip kiss bhi keya aur etc pla pla……………<3. aur kuch bata nahi sakta ma usa mera jan si bhi jada pyer karta hun aur asa hi sadi khatam hogaya aur wo chala gaya ma bhi hostel agaya dilhi akar msg keya aur ph bhi ham lok har sunday melna kale ek park jarahe tha us ka ghar se mera hostel 15km ka distanc tha.ma train ma jakar mil raha tha.ase mera b.tec compliet hogaya aur ma ek softwer company chala gaya udhar kam ke selsela sa hamare bat nahi ho paraha tha.ma udhar 1 year hogaya job karte karte ma jab dilhi bapas ayi uska sadi hogaya tha.ma wo sun kar bahat ronalaga aur bapas company chali ayi abhi ma us company ka c.e.o hun bt absos eahi company join hoke mera love bechad gaya really friends i love him so much mera “

Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin

125 thoughts on “love is can be die – gagan from cuttack”

  1. sry yar.BT smj Nai aaya Aap ladke ho ki ladki..last me him likha n ladki ka name khusi bataya ..muje smj Nai aaya ye Kuch…sry sayad apki Hindi kamjor h is liye hua hoga..

    Vese stry bahot sed h..god bless u.move on..

  2. Bhaai pehle english likhna seekh lo firr ladkiyon ko patana, tm log reject hone ke laayak hi ho.
    Base hai nahi, ghar banaane chale hain.

  3. bhai delhi me rheke hindi ni aati b tech bhi kar li aur story real h ya nhi lkin shok hua me bhi ending me so sad.

  4. stry ne mind ki exercise kara di….language ki wajah se 3G movie ki tarah sab kch padhne k baad samajhna pada..
    Stry toachi h yr pr kch incomplete love memories hain ya fir bachpana hi samjahlo ise but
    CEO hone k baad bhi hindi ki aise halat….yha tak ki…eng ki bhi baja mari end mein…bla bla ki jagah pla pla..ye kaise hua bhai…..aapki company mein kahi akele aap hi to member nai ho..ghr pr baith kr apne computer room se baat kr rhe ho kya…????

  5. Wow sam n ranchit nice comments. ..

    n sach me hindi n english ki to puri band baj gai yar….in dono languages ka murder kar diya…but koi nai apke sath jo n hua accha nahi hua

  6. “THE SALMAN LOVE STORY”

    Nadi kinare dhuan uthat,
    Main jaoon kachhu hoye,
    Jiske karan main jala,
    Kahin vahi na jalti hoye,

    Lakdi jali bhal koyla,
    Koyla jala bhal raakh,
    Main premi aisa jala,
    Koyla bhaya na raakh.

    PART 1 – September 19th, 2001.

    Phir vahi nazar, vahi badi badi bhoori aankhen aur phir vahi mujhe dekh kar shokhi ke saath palkon ka jhapkana.

    \”Oye sun na, bore ho rahi hoon yaar\”

    Aur phir vahi ada ke saath ubaasi lene ka natak karte hue mere kandhe par uska sar ka tikana.

    \”Class mein suna karo ke kya bol rahe hain, filhal mere notes copy karke kaam chala rahi ho, aage zindagi mein kya karogi?? \” Hamesha ki tarah mera shikayat karna.

    \”Tum hoge na vahan bhi mera saath dene ko, my best friend\” Hamesha ki tarah muskurate hue uska vahi purana jawab.

    Best friend. Is label se mujhe nafrat bhi thi aur ye haqeeat bhi thi ke is label ke bina jeena mera muhaal tha.

    Mere Humnafas, Mere Humnawa,
    Mujhe Dost Ban Ke Daga Na De
    Main Hoon sadma-e-Ishq Se Jaan-Valab,
    Mujhe Zindagi Ki Dua Na De.

    Use shayad khabar bhi nahi ke mere dil mein kya hai. Ke kaise main use dekh dekh jeeta hoon aur kaise mera use dekh dekh hi dam nikalta hai. Uske liye toh main uska sabse achha dost hoon jo uske har achhe bure mein uske saath hota hai. Jab vo hasti hai uske saath hasta hai aur jab vo roti hai toh uske chehre se ashq ponchhne ko sabse pehla jiska haath hota hai. Aey kaash ke use khabar ho ke ye silsila mehez saath hasne aur saath rone se kahin aage nikal chuka hai.

    Kaash use khabar ho ke vo hasti hai toh kis tarah mere dil ki dhadkan tez ho jaati hai aur vo ghamzada hoti toh kaise mera dil bethne lagta hai. Aey kaash ke use khabar ho ke kaise main baar baar uski nazar bacha kar uska deedar karta hoon, uske chehre ko apni nazar se chhuta hoon aur ye sochta hoon ke uske bina kabhi jeena pada toh kya karunga. Kaise guzarunga ye din aur kaise kaatunga apni raat.

    Sochta hoon ke kaisi hogi zindagi jo yun hi kabhi vo bhi meri mohabbat ka iqraar kar le.

    \”Yaar vo kal wala assignment banaya?\”

    \”Haan\” Maine jawab diya

    Usne usi masoomiyat ke saath apni aankhen gol gol ghumate hue meri taraf dekha aur maine bina kuchh kahe, bina kuhh sune uska matlab samajhte hue kaha ?Shaam ko ghar aakar de jaoonga. Kar lena copy?

    \”Thank you so much. You are my best friend\” Vo khushi se kisi chhoti bachchi ki tarah khush hoti aage badhi aur mere gale mein baahen daal kar mujhse lipat gayi.

    Best Friend.

    Kaise kahoon, kaise samjhaoon ke main usse zyada hona chahta hoon. Ke main usse mohabbat karta hoon. Par kambakht alfaaz hain ke na jaane kyun zubaan tak aakar hi ruk jaate hain. Ehsaas hain ke na jaane kyun dil mein dhadkan ban kar hi dhadakte reh jaate hain. Khwahish hai ke na jaane kyun aankhon se toh numaya hoti hai par lafzon ka roop lekar kabhi zubaan ki sidhiyan nahi utarti.

    Na jaane kyun.

    PART 2 – April 21st, 2002

    \”Yaar please saath chal na. Main ghar par kya keh kar jaoon ke 3 din ke liye kahan ja rahi hoon?\”

    \”Apni doston ke saath, aur kahan\”

    \”Mere dad kabhi nahi maanenge is baat ke liye ke akeli ladkiyan shehar se bahar ghoomne ko ja rahi hain. Tu keh de ke saath chal raha hai\”

    Phir ek baar uske liye jhooth aur har baar ki tarah is baar bhi khushi se. Aur vo bhi shayad ye baat jaanti hai ke vo kuchh kahe aur main mana kar doon aisa shayad hi kabhi ho.

    \”Haq hai mera tumhare uper\”

    Aisa vo kehti hai aur aisa main samajhta hoon, manta hoon. Aur chahta hoon ke ye haq bana rahe, isi tarah, hamesha ki tarah, zindagi bhar. Aur koshish karta hoon ke use bata sakun ke main yun hi uske naaz uthana chahta hoon. Jahan vo kadam rakhti hai us zameen ko chommna chahta hoon. Ke uski kadam-bosi karna chahta hoon aur apna dil uske kadamon mein rakhte hue use ye ikhtiyaar dena chahta hoon ke vo chahe toh apna le, vo chahe toh thukra de.

    Mujhe Chhod De Mere Haal Par,
    Tera Kya Bharosa Hai Chaaragar
    Yeh Teri Nawazish-e-Mukhtasar,
    Mera Dard Aur Badha Na De.

    \”Yaar tu na hota na, seriously bahut akeli hoti main\”

    Par main use kaise samjhaoon ke meri kash-makash kya hai. Ke kaise main jab uske saath hota hoon toh mehfil mein bhi hota hoon aur tanhai bhi saath nahi chhodti. Ke kaise uske hone se duniya rangeen ho jaati hai aur lagta hai ke har taraf mehfil hai. Par is khyaal se ke vo meri mohabbat se bekhabar hai, kis qadar udaasi mere dil mein ghar kar leti hai. Kis tarah se bheed ke beech uska haath thaame bhi khud ko akela pata hoon main.

    Kaise kahoon, kaise samjhaoon ke main usse zyada hona chahta hoon. Ke main usse mohabbat karta hoon. Par kambakht alfaaz hain ke na jaane kyun zubaan tak aakar hi ruk jaate hain. Ehsaas hain ke na jaane kyun dil mein dhadkan ban kar hi dhadakte reh jaate hain. Khwahish hai ke na jaane kyun aankhon se toh numaya hoti hai par lafzon ka roop lekar kabhi zubaan ki sidhiyan nahi utarti.

    Na jaane kyun.

    PART 3 – May 13th, 2003

    \”Do you really have to go? I mean you could a job here too\”

    Vo poori koshish kar rahi thi ke apni aawaz mein jhalak rahe bhaaripan ko, apne aankhon mein jhalak rahi nami ko chhupa sake par kaamyab nahi ho pa rahi thi.

    \”Its just for a few years you know and it will be a boost for my career to start my work life working abroad with a company like that. Down the line i can come back and get a good package to work here\” Maine jawab diya.

    \”Or you might just like it there and not come back at all \”

    Aur uske is jumle ne jaise hazaron baatein keh di, uska sabse bada darr numaya kar diya.

    \” Hey !? Maine uska haath pakadte hue kaha ?We will always stay in touch and when i finally move back here, we will still be friends, Best friends\”

    Usne muskurane ki koshish ki par saaf zahir tha ke vo sirf mera dil rakhne ke liye thi. Pata nahi main aisa kyun kar raha hoon, kyun is job ke bahane usse door jaane ki koshish kar raha hoon. Kya sach main apne career ke liye ye kadam utha raha hoon ya sirf isliye ja raha hoon ke usse kuchh din ke liye door ho sakun. Apne us har jazbaat se door ho sakun jo uske naam se shuru hokar uske naam par khatam ho jaate hain.

    Kya main isliye door ja raha hoon ke mujhe ek achhi zindagi mil sake ya main ye koshish kar raha hoon ke apne zindagi ko ek alag nazariye se dekh sakun. Ek aisa nazariya jahan meri nazar sirf ek usi ki tasveer na ho. Main aaj tak usse apne dil ki baat nahi keh saka hoon. Kai baar koshish ki hai par har baar zubaan ladkhada jaati hai.

    Ek ehsaas jo kabhi dil ko sukoon deta tha ab takleef dene laga hai. Main bahut arse se uske ishq mein deewana hoon aur aaj tak usse is baare mein ek alfaaz kehna toh door, kabhi isharon isharon mein bhi nahi jata saka.

    Dil mein hazaron baatein hai, hazaron ehsaas hain jo ab andar hi andar se mujhe todne lage hain. Dam sa ghutne laga hai mera. Lagta hai main ek aisi machine hoon jise ek ek purza kharab ho chuka hai. Mere khyaal, meri soch kabhi usse door hoti hi nahi. Kabhi ek pal ke liye sukoon milta hi nahi.

    Na toh keh pata hoon aur na chup raha ja raha hai. Shayad usse kuchh din door rahun toh kuchh sukoon mile.

    PART 3 – Dec 13th, 2004

    \”Kya hua, tum toh bade bahane bana rahe the ke meri shaadi mein nahi aa paoge, ab kya hua? \”

    Mujhe dekh kar vo usi masoomiyat ke saath, kisi chhoti bachchi ki tarah ithlati hui aage badhi aur apne makeup se bekhabar, apne dulhan ke libaas se bekhabar, aas paas khade logon se bekhabar, aur aisi hi tamam cheezon se bekhabar hokar meri gale mein baahen daalti hui lipat gayi.

    \”Mujhe pata tha tum zaroor aaoge, bhale lakh kaam ho tumhein. Main bulaoon, aawaz doon aur tum na aao, aisa toh kabhi ho hi nahi sakta\”

    Aur aaj uski shaadi hai.

    Woh Uthein Hain Leke khum-o-Subu,
    Arrey O ?Shakeel? Kahan Hain Tu
    Tera Jaam Lene Ko Bazm Mein
    Koi Aur Haath Badha Na De!

    Aur kisi aur ne haath badha hi diya. Main kinare khada dekhta hi reh gaya, sochta hi reh gaya aur meri kashti ko nakhuda ban kar dariya mein koi aur le gaya. Mere jazbaat zubaan tak aa hi na sake aur vo kisi aur ka jazba ban gayi. Mera dil uske naam par dhadakta hi reh gaya aur kisi aur ne apna naam uske saath jod bhi liya. Meri aankhen uske ehsaas se nam hi reh gayi aur koi aur uski aankhon ka kajal ban gaya.

    Usne phone par mujhe bataya tha ke vo shaadi kar rahi hai aur main bahane banane ki koshish karta raha ke kaise mere passport ki koi problem hai, kaise main filhal india nahi aa sakta, kaise mujhe hazaar kaam hain, kaise main filhal bahut busy hoon aur ek vo thi ke muskura kar sirf itna hi kaha ke vo jaanti hai ke main aaonga zaroor.

    Aur main ek baar phir uske dar par aa khada hua.

    Saalon se badi khwahish thi ke uske dulhan ke roop mein dekhun. Dekhun ke kaise laal rang uske gore rang par phabta hai. Dekhun ke shaadi ki vo chamak, vo raunak uske chehre par kaisi lagti hai. Dekhun ke jab vo ban than kar aaye toh kaise mehfil ki har ladki uske saamne mamooli ho jaaye.

    Aur jaisa socha tha vaisa hi aaj ho bhi raha hai, farq sirf itna hai ke laal rang aaj kisi aur ke naam ka hai. Angoothi kisi aur ke naam ki hai, maang ka sindor kisi aur ke naam ka hai.

    Aaj vo sar se paon tak kisi aur ke naam ki hai.

    Main khada sochta hi reh gaya aur meri duniya jaise neelam ho gayi, kisi aur ke naam ho gayi.

    Kabhi jaam lab se laga diya,
    kabhi muskurake hata diya,
    teri chhed chhad ye saqiya,
    meri tashnagi ko bhadha na de.

    \”Mujhe pata tha tum aaoge, thank you. You are my best friend\” Vo boli.

    Kaise kahoon, kaise samjhaoon ke main usse zyada hona chahta hoon. Ke main usse mohabbat karta hoon. Par kambakht alfaaz hain ke na jaane kyun zubaan tak aakar hi ruk jaate hain. Ehsaas hain ke na jaane kyun dil mein dhadkan ban kar hi dhadakte reh jaate hain. Khwahish hai ke na jaane kyun aankhon se toh numaya hoti hai par lafzon ka roop lekar kabhi zubaan ki sidhiyan nahi utarti.

    Na jaane kyun.

    PART 4 – Nov 14th, 2006

    Aakhri baar use dekha tha to voh laal rang mein thi. Bahut khoobsurat lag rahi thi.
    Aaj use dekh raha hoon toh vo safed rang mein, bahut khoobsurat lag rahi hai.

    Aakhri baar use dekha tha toh vo mehfil mein thi, bahut khoobsurat lag rahi thi.
    Aaj use dekh raha hoon toh vo ab bhi logon se ghiri hui hai, bahut khoobsurat lag rahi hai.

    Aakhri baar use dekha tha to vo ghar se vidai le rahi thi, bahut khoobsurat lag rahi thi.
    Aaj use dekh raha hoon toh vo phir vidaai le rahi hai, bahut khoobsurat lag rahi hai.

    Aakhri baar use dekha tha to log use ghere aansoo baha rahe the, aur vo bahut khoobsurat lag rahi thi.
    Aaj bhi log use ghere zaar zaar ro rahe hain, aur vo ek baar phir bahut khoobsurat lag rahi hai.

    Par nahi, kuchh farq bhi toh hai.

    Jab isse pehle use dekha tha toh vo gehno se ladi hui thi, sar se paon tak sone ki gudiya lag rahi thi. Aur aaj toh use bepanah husn ki shaan badhane ko kuchh bhi nahi. Pehle har chehre chehre par raunak thi, mehfil thi aur aaj toh sirf matam hai, veerani hai. Log tab bhi the, log aaj bhi hain par in sabke beech vo aaj hote hue bhi nahi hai.

    Tab jiske gale mein phool the, aaj uski tasveer par phool hain.

    Dar-e-yaar par badi dhoom hai,
    vahi aashiqon ka hujoom hai,
    Abhi neend aayi hai husn ko,
    koi shor karke jaga na de.

    Par aisa lagta hai ke maut sirf itna hi kar saki ke jism se rooh ko nikal le gayi. Isse zyada shayad maut ke bas mein bhi nahi tha. Vo aaj safed chadar mein lipti jin logon ke beech hai, unmein se har kisi ke chehre par gham hai par jiske liye zamana ghamzada hai vo khud kitni pur-sukoon hai. Vahi raunak jisne zindagi bhar saath diya vo aaj aakhri lamho mein bhi chehre ka saath chhod na saki.

    Aur un sab logon ke beech betha main abhaga ye tay hi nahi kar pa raha hoon ke meri duniya aur kitni baar lutegi. Kabhi laal rang mein toh kabhi safed rang mein waqt aur kitni baar mere saath mazak karega. Main jiska haath thaam kar sapne sajana chahta tha, aak vo khud ek khwab bankar maut ka haath thaame jaane kahan chali gayi.

    Main khada sochta hi reh gaya aur meri mehfil veeran ho gayi.

    Aur phir dil mein khyaal aata hai ke auron ki tarah main bhi zaar zaar ro doon. Beh jaane doon ye dariya jo kabse aankhon mein samete hue hoon. Peet loon main bhi apni chhati, phod loon main bhi apna sar. Ke main bhi aasmaan ki taraf chehra uthaoon aur ek patthar utha kar khuda ki tarah phenkne ki koshish karun. Aur usse shikayat karun, gila karun.

    Khyaal aata hai ke jo kabhi masoomiyat ki tarah baar baar chhoti bachchi ki tarah mujhse lipat jaati thi, aaj main uske murda jism se lipat jaoon. Jo baat zindagi bhar usse na keh saka, aaj use apni zubaan tak le aaon. Bethun uske sirahne, rakh loon uska bejaan sar apni god mein, thaam loon uske thande pad chuke haath aur bataoon use ke kaise main apni zindagi ka har pal uske naam kar chuka hoon. Kaise uske dam se meri zinadgi ka dam tha. Ke kaise main usse door hokar bhi hamesha aur sirf usi ka raha.

    Peet loon main bhi apni chhati, phod loon main bhi apna sar. Pehenke kala choga, main bhi dhar loon roop Rudaali ka.

    Ban jaoon main bhi aaj deewana aur majnu aur ranjha ki tarah main bhi uski mayyat par zamane ko dikha doon ke main usse kis qadar mohabbat karta tha. Jo baat kabhi usse na keh saka, aaj poori duniya se keh doon. Ke rok loon use jaane se. Wasta doon apni dosti ka, shart rakhun apni mohabbat ki aur kahun kuchh aisi baat ke vo palat aaye. Saanson ki rawani, dhadkan ka silsila, jism ki garmi phir laut aaye aur vo yun hi ithlati hui mujhse lipat jaaye.

    Maangun koi aisi dua ke mera khuda mujhe meri mohabbat phir lauta de.

    Ya phir chalun main bhi uske saath thi. Chahta bhi toh yahi tha ke uske saathi hi rahun, hamesha. Toh kyun na aisa karun ke aaj main bhi uske saath is anjaan safar par nikal padun. Jo kabhi ghar se bahar tak mere bina nahi nikalti thi, aaj use ek anjaan duniya mein akele kaise jaane doon?

    Par nahi, main toh bas khamosh betha hoon, jaise hamesha se uske saamne khamosh raha. Aaj bhi bas soch raha hoon ke ye karun, vo kahun par bas ek kone mein betha khamoshi se uske chehre par nazar jamaye hoon. Aaj bhi bas sabki nazar bacha kar, uski nazar bacha kar, uske husn ka deedar kar raha hoon. Aaj bhi soch raha hoon ke kya kahun, kaise kahun.

    PART 5 – November 22nd, 2006

    Usko gaye aaj 8 din ho gaye hain aur main apne ghar mein apna sar thaame uski tehreer padh raha hoon. Jo kabhi hamesha mere hi notes copy karti thi, usne pehli baar khud kuchh likh kar mujhe bheja hai. Bhejne ki tareekh uski maut se 2 din pehle ki thi.

    \”Shaadi ke baad tum aise gaye ke bas gayab hi ho gaye. 2 saal ho gaye hain aur tumhara kuchh pata nahi. Kya ho gaya? Naraz ho mujhse kya? Phone number badal liya aur mujhe bataya tak nahi? Ghar badal liya aur mujhe khabar bhi nahi ki? Ab phone bhi nahi karte? Tumhara ye address bhi badi mushkil se dhoondh paayi hoon ?. sach kahun toh main jaanti hi nahi ke ye sahi bhi hai ya nahi ?

    Ek baat thi mere dil mein kaafi arse se so socha ke aaj keh doon. Ek lambe arse tak intezaar karti rahi ke shayad tum kahoge par aisa hua nahi. Shayad maine hamari dosti ka kuchh aur hi matlab nikala aur tumse ek anjaan si ummeed laga bethi thi aur aakhir tak vo ummeed qayam rahi.

    Mere paas ab waqt zyada nahi hai aur main nahi jaanti ke main ab tumhein jaane se pehle dekh bhi paoongi ya nahi. So aaj khud hi apne dil ki baat kahe ja rahi hoon. Actually toh mujhe kabhi samajh hi nahi aaya ke tumse kaise kahun aur aaj bhi nahi jaanti ke kaun se shabd likhun isliye college time ki apni diary ke kuchh papers phaad kar post kar rahi hoon. Ummeed hai ke shayad tum padhkar samajh jao ke main kya kehna chah rahi hoon.

    Aur ek jhooth bhi bola tha maine tumse. Kahin jaane ke liye main hamesha tumhein isliye bulati thi ke main tumhein saath le jana chahti thi. Tum aane se mana karte the toh jhoonth bol deti thi ke papa jaane nahi de rahe aur tum aakar saath chalne ka bahana karo taaki to permission de den.

    Waqt rehte tumhein ye mil gaya aur tum aa sake toh theek varna alvida mere dost. Apna khyaal rakhna. Hamesha Khush Raho.

    You were my only and my best friend.\”

    Maine diary ke kuchh pages jo usne bheje the padhne shuru kiye.

    \”Samajh nahi pa rahi hoon ke kaise main use apne dil ki baat bataoon. Kabhi kabhi uski taraf dekhti hoon toh lagta hai ke vo bhi mujhe chahta hai par vo kuchh kehta hi nahi. Aaj class mein chor nazar se baar baar mujhe dekh raha tha. Vo sochta hai ke mujhe pata nahi chalta par main jaanti hoon ke vo meri aankh bacha kar meri hi taraf dekh raha tha.

    Agar chahta hai mujhe toh lallu hai ekdam. Saara din uska haath thaame ghoomti rehti hoon. Ab aur isse zyada kya ishara doon ke main bhi use chahti hoon\”

    Uski diary ke pages khatam hone se pehle hi meri aankhon beh chale the. Aaj phir ek baar meri duniya loot li gayi thi. Aaj phir dil chah raha tha ke main cheekh maar kar do roon.

    Peet loon main bhi apni chhati, phod loon main bhi apna sar. Pehenke kala choga, main bhi dhar loon roop Rudaali ka.

    Phir ek patthar utha kar aasman ki taraf, uperwale ki taraf uchhalun.

    Main gham-e-jahan se nidhal hoon,
    Ke sarapa dard-o-malal hoon,
    Jo likhe hain mere naseeb mein,
    vo alam kisi ko khuda na de………………..SALMAN

  7. word Nai h bolne ko..bs ansu aa gae ..stry Nai jese samne dekha h sab kuch…slechless….

    Teena ye rohan ki stry matalab?

  8. Dipika g mujhe nhi pta apke or preet g me kiya hua hai ap dono kyu gusa ho pr preet g ne mujhe kal itna hi bola ke me preet g ki or se apko sorry bol do to plz asi preet g valo tehanu sorry bol rehe hai g

  9. sneha sis.!
    dipika
    jo aapne wo meri story apdhi hai ..
    darasal wo story rohan ki hai..
    mene janbuchkar rohanse churali thi
    kyunke wo ye site pe send karna chahta tha,,,
    par mene hi usey submit kardi kisi dusre naam pe
    kyunke aaplog zzada tar rohan ko chahte nhi na
    to mene chura kar sen krdi or naam rohan ke bager SALMAN lagadiya
    take rohan shayd wapaas aye to naa dekhe..par wo story abhi adhi hi hai..
    or bohat baki h jo mujhe nhi mlm.

    im soory sis, bro, wo rohan ki sacha pyar h.
    or ueeki daastan hai..jo mene kisi or ke naampe mere comments me dedi

  10. im soory sis, bro, wo rohan ka sacha pyar h.
    or useeki daastan hai..jo mene kisi or ke naampe mere comments me dedi

  11. sorry wo rohan ki story hai
    the real usne bade dilkah andaaz se
    banaya tha par sahyad wo na submit
    kartha tha to mene kardi………!

    sis wo story ko mene bhi
    padhatha..lekin mene bhi jab padha
    or dheere dhre main bhi ro padi

  12. sneha sis.!
    dipika
    jo aapne wo meri story apdhi hai ..
    darasal wo story rohan ki hai..
    mene janbuchkar rohanse churali thi
    kyunke wo ye site pe send karna chahta tha,,,
    par mene hi usey submit kardi kisi dusre naam pe
    kyunke aaplog zzada tar rohan ko chahte nhi na
    to mene chura kar sen krdi or naam rohan ke bager SALMAN lagadiya
    take rohan shayd wapaas aye to naa dekhe..par wo story abhi adhi hi hai..
    or bohat baki h jo mujhe nhi mlm.

    im soory sis, bro, wo rohan ki sacha pyar h.
    or ueeki daastan hai..jo mene kisi or ke naampe mere comments me dedi
    Reply ↓

  13. im soory sis, bro, wo rohan ka sacha pyar h.
    or useeki daastan hai..jo mene kisi or ke naampe mere comments me dedi…

  14. sorry wo rohan ki story hai
    the real usne bade dilkah andaaz se
    banaya tha par sahyad wo na submit
    kartha tha to mene kardi………!

    sis wo story ko mene bhi
    padhatha..lekin mene bhi jab padha
    or dheere dhre main bhi ro padi………

  15. Vo story kisi hundu bhai nE nhe kisi muslim bhai ne likhi h vo to pad k he pata chal rha h …
    Or ye teeeena fake h .

  16. Teena ka to pata nai pr ye comment wali stry fake or filmy kahi se uthayi hui h shayad…dont wanna hurt any1’s feeling but…
    Jo usme starting mein doha likha h wo fb pr h…ye hai uski link..

    https://m.facebook.com/UeluckyIsHqzadaVyom/posts/298688446889509

    Dont mind guys seriously stry bahut filmy hai….ho skta h kisi ki life ka sach ho…..to ..i salute …jisne originally ise likha h ..real ho ya fake…writing talent acha hai…

  17. Guys plz wake up…google ya dusri websites facebook se stort utha kar yaha post mat kro…ek hi to website hai love stories ki…plz if u have ur stry den post it otherwise…read and comment only….
    I request u all!

  18. oooooo Sam u r raight yar..mene dekha…u r raight …link dekh k Pata chal gaya.ye stry to 2012 se fb n site pe ghum rai h……….Apko ye sab kese Pata chala plz bataona…Sam….

  19. dipika sis 2012 se nahi balke 2005 se hai
    apko uska sach jaanna hai to main apko
    bataungi …or wo abhi story sifr adhi hi
    hai or abhi adhi story usne poory nahi
    jald hi ayegi

  20. us story ki short film banake ki koshish me
    rohan…jo ke asli naam sikander hai.
    jabse uskii gf chalbasi tabse unho ne naam ko
    badal kar rohan se nawaza..
    or arhi baat meri kapil aapke kehnese
    koi fake nahi hote aapke maan se yah naa maannse
    mujhe koi aitraaz nhi h..ye aapki soch h shayd aap
    honge fake….isthara har koi kisiko fake
    kehta rahe ga to ye site koi nhi ayega..

    pichli baar aksha di ko bhi fake fake kark unko ek ladka
    dum karrha tha. par uska asae didi par nahi hua
    wo khud chalbasa..shyad wohi fake hoga

  21. hey teena kya bol rhi ho tum mujhe to kuch samjh hi nhi aya……or koi mujhe didi kahe aksha kahe aksh kahe ya dost bole isse mujhe koi frq nhi pdta…or mene to kisi ko fake bola b nhi h me sirf us pr blv krti hu jis pr mera dil ykeen krta h…..sory but mujhe tumhari koi bat smjh nhi….ki tum kya kehna chahti ho

  22. oh to shyd tum ye krhna chahti ho ki kisi ne mujhe fake kaha or wo hi is site se chla gya…dekho teena yha bahot log new ate h to mujhe koi frq nhi pdta koi muje fake smjhe ya truth…mere frnds to jante h na muje ki me fake hu ya nhi or fake ki bat aisi h ki logo ko naam me cnfusn ho jati h ki ye ldka h ya ldki jise momdans name malum nhi hote h…..

  23. Hey deepika ji..
    Yr story bahut filmy hai aur bahut sare dohe likhe hain……to muje uspr dought hua….isliye maine google kia aur sab mil gya…..actually muje jab koi bhi chiz ajib lagti h ya koi answer chahiye hota h to google hi krta hu …plus engineering padh rha hu yr to baal ki khaal nikalne ki adat h..

  24. Cool down aksha….
    Yr ye teena kahi poonam part 2 to nai h
    And miss teena aap itni mehnat na kro chura kar kisi aur ki love stories post krna koi bahut acha kaam nai h…jo ki aapne khud accept kia h…
    Ab bas bhi kro ye story jisne bhi jiske liye likhi….aapka to ho gya pardafash……aur ye jo logo ko yaha kahaniyaan banakr pagal banane ki trick aapne jis school se seekhi h waha k ham principal reh chuke hain…ab baatein banana band krdo

  25. Aksha tumhe kisi ne fake nhi kaha yr bs name confusion thi …..ranchit ko aur kuch nhi

    Teena ye story acchi h bs
    I don’t care kiski h …tum rohn ki frnd ho bt maine to tum dono ko kabhi sath me baat krte nhi dekha yha …
    Jb wo hota h tum nhi or jb tum hoti ho wo nhi ….khi tum dono 1 hi to nhi
    Jiski story h usk name se post krni thi n ..naki dusre k name se

  26. Hi sneha ji
    Plz yr ek quesn aur puchlo miss teena se…..ki inke frnd ne apna name sikandar se change krke rohan q rkh liya….shradhanjali di kya …ya fir iske piche bhi koi stry

  27. ghantaaa…. ceo hokr bhi lang nii aati h fakr story ??

    jha jha rohan wha wha teena ??

    ganghadhar hii shakthimaan h sam bhai ???

  28. harsh mere ps koi code nhi aya h yr qki jis no. se wo id thi wo kisi or ka no. tha mene kisi or se banwayi thi wo…..

  29. uska beda gark ho jisne meri id chura li allah kre uski id ko b koi block krde……….dushmano ko meri hi id mili thi mene to kbi kisi ko bura b nhi bola fir meri id hi q churayi hmmm mummyyyy….

  30. Harsh mne fb pr id bnwayi thi kisi se wo persn mumbai ka h to usne whi k kisi persn k no. se bnai thi….to kya ab meri id nhi khulegi kbi…..yr usme to bahot msg the…

  31. Aksha abhi mai bahar ni ja skta hu ghar p hu frnd ko call ki h wo evng me ayega tabhi kuch hoga
    Nd fb wali online ni a rahi h aj ni to sahi ho jata

  32. Hiiiii frndzzz…hw r u ollllll..

    Motii sweatu baby neha anuj aadi bhai sb ko miss krta hu..jinke name nhi liye unhe b yrrrr…miss u a lot frndzzzz.. 🙂

  33. hey aksha..kl aapki pyali sis means motiii bta rhi thi k aap kisi prblm m ho..kya ho gya sb kheriyat to h na??

    N motii ne cll b kiya tha bt phn not reAchable aa rha tha..

    Id hi prblm h ya kuch or??

  34. ha ha pta h mere bina kisi ka to man hi nhi lg rha hoga..h na.. 😀

    aleee mazak kr rha hu..frndzz sb maze m rha kro yrrr..n kitni b tnsn ho ya prblm bt situation ka samna kro..usse bhago mt.. 🙂

    ab aap sb kahoge k kitna intelligent or samjhdar bnda h..frndzzz bchpn se hi hu..
    Bt ghamand ratti bhAr ka b nhi.. 😀 😀 🙂

  35. ? मालकिन अपनी नौकरानी से – “तुम
    तीन दिन से काम पे
    नहीं आयीं और बताया तक
    नहीं..? ..
    नौकरानी – ” मैडम जी मैंने
    तो Whats up Aur Face book पे status अपडेट कर दिया था… “going to
    गाँव for three days…”
    साहब ने तो कमेंट भी किया था..
    ” missing you

    ?????

  36. Hahahahahaha
    tume ni lgta salman uper wale ne kuch jada hi smjhdar bnakr bheja h tume…………….
    bas bas ab jada udho mt wrna par kaat dungi…

  37. Mana ki Kismat pe mera zor nahi,
    Par ye sach hai ke “MOHABBAT” meri kamzor nahi,
    Tere dil me teri yadon me shayad koi or hai,
    Lekin Meri har sans me tere Siva koi or nahi..

  38. Vese mera dost keh raha tha k mobile no.se jo id banate he vo hack nahi hoti agar hack ho gayi to.mil jayegi varna nahi milegi fir anuj he kuch kar payega

  39. haye allah mere sath me sb panotiya q hoti h…ok harsh koi bat nhi
    anuuuuuuuuuuuj tum hi kuch kr do jisse meri id thk ho jaye frnds me 3 pm k bad yhi milungi tum sb aa jana ok…

  40. Lo khus ho jao yrr..AA Gya m..??

    Aksha aaj allah tmpee meharban h.. 🙂

    bt dekho m abhi bus m hu…so late rply ho to kahna mttt..

  41. gagan tumhari story bahot achi h pr tumhari language ki wjh se sbko preshani hui h smjhne me….dekho jo hona tha wo to ho gya ab use badla to nhi ja skta na isliye acha h ki tum ab sirf apni family k bare me socho kuch or nhi….qki khushi ab kisi or ki amanat ban chuki h to uska khyal dimag me lana bhi galat h….bas yhi dua krenge apke liye apko usse behter jivan sathi mile….

  42. teena ne jo story post ki h ye to nhi pta kiski h shyd sikander ki hi h ab wo kon sikander h ye to nhi pta pr itne jajbat bhare h isme k dil tadap rha h bahar aane ko use dhundh lane ko or dede khushiya sari sikander ko chahe unki keemat meri khushiya hi q na ho kya kahu kese me b ye kahu itne jajbat koi kese samet skta h apne seene me jo chla gya h dur kahi ek jahan me wo laut kr to na ayga pr ho gya h un dono ka pyar amar ab or kuch mujhse kaha na jayga,…………………………..me aksha hu me shyr nhi hu naa hi kisi k cmmnt copy krti hu ye jo b mene likha h ye mere jajbat h jo nikle h mere dil ke kisi kone se or bas ab to us shqs se milne ko jee chahta h mera jin sbhi logo k sath aisa hota h……..frnds sbse meri ek guzarish h or use sb manna jarur……zindgi ka kuch pta nhi kab kese kaha ruk jaye or dil pr kisi ka bas nhi jo mohabbat na kare ye insan ka sbse kamjor or imotional hissa h ap jisse b mohabbat kare beshaq wo shqs apse be-inteha nafrat hi kyu na krta ho fir b apni mohabbat ka izhar jarur kar dena qki ho skta tumhari mohabbat uski nfrt mita de or tumhe b koi afsos na rhe..mohabbat mile ye jruri nhi hota wo to amar h hmesha se bas apna izhar jarur kr dena k kahi kisi k dil me tumhare liye phle se mohabbat ho or tum yhi soch kr bethe ho ki wo kbi mera tha hi nhi…………………me salaam krti un sbhi ko jo aisi mohabbat krte h Allah unhe unki sari khushiya de..Aameen…..

  43. Aksha di I want to say
    Something with u..
    Par tumlogone merri baat naa
    Sunkar mera mazaak banadiya
    Sabb log aap sneh di dipika etc.
    Tumhe samhjane wali hi thi
    Jaise mene computer on kiya
    Or mene dekha k sabblog meri mazzak udarahehai or saatme mere sikander bhaiya ki bhi

  44. Much to mera bhitha sabb ko
    Moohtod jawab dethi this par kya karthi. Sabbdekha mene aapkhud ek ladki hokar mere mazzak shamil hui. Aakhome pani
    Aagaya kisiko kuch nahi bola mene. Sharm nhi aati aaplogo jab ek ladka mujhe bura bhala kehratha tab.

    Ek chhoti Behan ko ched rahe the to aapka kaam kya tha di khud unlogome shamil hogai meri
    Bezati karneko. Aap sabb didi yonko main maaf nhi karungi

    Aksha sneha dipika . I ht u

  45. hlo mis teena mujhe nhi pta tum kya bole ja rhi ho ye site pyr ki site h or pyr hi hm dusro ko dete h or dusro se b yhi ummeed krte h……agr tum kisi se nfrt kroge to bdle me tume b nfrt hi milegi teena so hmesha soch smjhkr jwab diya kro or kisne majk banaya h sikander ka batana mujhe hmne kb kaha ye story fake h afcourse ye real h or jo mene is story k liye cmmnt kiya wo b dil se jajbat nikle the mere……..teena tum yha new ho skta h tum ya tumhara bhai yha purane ho mgr yha or bhi log h jo mohabbt krte h or jinhe bachpn se shok hota h love story pdhne ka….to sam ne jo link diya h kya wo galat h shyd tumhari nzr me ho…hamari nzr me galt nhi h or rhi bat sikander ki story ki to teena rohan k sath hua hoga aisa hi mgr usne khud se story likhne k bajaye same apni situation k jesi ye story ya sorry tumne ye story yha post ki…………….ab jin logo ne yha ye phle se pdh rkhi h to unhe to pta hi hoga ye kitni purani h………………….agr kisi ne keh b diya ki ye copy ki hui to isme bura manne wali kya bat h…jo sbko sahi lgta h sb wahi kehte h………………

  46. mukil tha itne comments pe dhund pana is story ko per aakhir to mil he gye . koi mera comment pade to comments pe ek story h use padna behtareen h

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *