💘 Discover a Heartfelt Story: Aisi hain kuch yaadain mere bachpan ki... - Himanshu

Ek tera sath…. – rajeev

hello frnds mera naam rajeev hai me tumsehi.com ka fan hu.aaj aapko apni real story batane ja raha hu. dosto meri story thori alag hai aap sab se.par me hmesha apne dil ki sunta hu aur is matter me bhi mene dil ki suni hai.aur me bhut khush hu apne is faisle se. to baat aisi hai ki me ek software engineer hu aur facebook user bhi.ek din mere paas ek ladki (Divya) ki frnd request ayi.mene accept ki.fir hmari chat start hui.aur dheere dheere kuch time se hmara chatting time hours me badh gya.dheere dheere hm bhut acche frnds ban gye. aur fir hme ek dusre ki aadat ho gyi.divya se baat kiye bina jaise din hi nhi guzarta tha.aur jitni aadat mujhe divya ki thi utni hi use bhi meri thi.mere bina usko bhi sukun nhi aata tha.fir ek din mene use apna cell number diya aur kaha ki mujhse baat karo par usne mana kiya aur kaha ki hm face book par hi baat karenge.kabhi kabhi uski baate samjh nhi aati thi lagta tha ki wo jo dikhti hai wo hai nhi.mene bhut kaha par usne mujhse phone par baat nhi ki.mujhe kuch doubt hua.

par us waqt tak hme ek dusre se pyaar ho chuka tha..mene divya ko kaha tha ki tum jo bhi ho jaisi bhi ho mujhe koi fark nhi padta.mujhe tumse pyaar ho gya hai aur i knw use bhi mujhse pyaar ho gya tha.mene pata lagana shuru kiya.fir ek din mujhe pata chala ki jisse me pyaar karta hu wo ek call girl hai.i was shocked.mene usse direct puch liya. to usne bataya ki ha ye sach hai.fir mene usse kaha ki me ab bhi tumse bhut pyaar karta hu.kya tum bhi mujhse karti ho.usne kaha ha me aapse pyaar karti hu par janti hu ki ab aap shayad mujhse shadi na kar paye. par mene kaha ki me tumse shadi karunga .agar tum chaho to.usne ha kaha.fir mere family wale ready nhi the.par meri jid ke karan unhe bhi ha karna pada.. 3rd fab ko hmari shadi hui.aur hm apni new life start karne ja rhe hai. ek dusre ke sath ek dusre ke pyaar ke sath.

 

Submit Your Story

Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin

0 thoughts on “Ek tera sath…. – rajeev”

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *