Tere hosh main jiya Maine, or zindagi hi bhool gaye,
Jab door hua tumshe o sanam,zindagi se bhi door hue,
Tere hosh main jiya Maine, or zindagi hi bhool gaye,
Ye ishq thi ya thi koi hawa,
Bash Tu thi mujhmain or tha tera nassa.,
Tere hosh se jyaada madhosh tere o khumaari hai,
WO sach lag ke bhi the jhoothe ,ya hua koi naye bimaari hai,
Iss kadar tujhe dekhkar jab raahain mood gaye,
tere hosh main jiya Maine or zindagi hi bhool gaye,
jab door hue tumshe o sanam zindagi se bhi door hue,
Aaj duniya main hoo ,yaa duniya hi nahin,
Tere yaadon main hoo ,ya tere yaadain hi nahin,
Marna to pada shashon se mujhe,jismo se bash door gaye,
Ham to abhi bhi tere saamne hai,bash tere nazro se door gaye,
tere hosh main jiya Maine ,or zindagi hi bhool gaye,
Jab door hue tumshe o sanam ,zindagi se bhi door hue,
Aarzoo kai mujhmain hai ,kai janmo Ka faasla hai tera,
Kyu mil-mil ke bichchad jaate hai,ye kaisha silsila hai tera,
Tere intzaar main ab mere rooh bhatakte hain,
Tujhe dekhte hain pal-pal khush hote sawarte hain,
Iss kahani ko poora naye yug main karenge ham,
Waqt main behte-behte kaheen to milenge ham,
Tere Milne ka ashar mujhpe jaana pehchaana hai,
Rooh tere mujhe jaante hain, bash tere ankhon ko manana hai,
Tere yaadon ki potri liye ,ham in fizao main kaheen ghool gaye,
Tere hosh main jiya Maine ,or zindagi hi bhool gaye,
Jab door hue tumshe o sanam ,zindagi se bhi door hue…….
…………………..Ranjan kumar singh
Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin
Jab door hue tumshe o sanam ,zindagi se bhi door hue……. nice line
A guy deeply in love with a girl ,got an accident and lost his life in tragic way…
This poem depicts his love for her.
I dedicate this poem to their undied love…
wah yr heart touching poem…bhut bdiya likhte ho yr..
nyccccccc…………….
very nice poem… dil ko chu gayi aapki poem….
har line me kahi na kahi dard tha jo mene padha or mehsus kiya…
Thanks for ur encouragement…
Or ha. Aap log criticise Kar sakte hai. Chaahe o +ve ho ya -ve . what ever u feel after reading just say that to me.plz… Shayad ye mere liye beneficial hoga…
thanks, nice job yaar.
Ranjan G Kya Batau? Esa Laga Jese Aap Ne Meri Muh Ki Baat Chhin Li Ho, Dil Ki Baat Sun Li Or Yaha Post Kr Di,,, … Uske Hosh Me Jiye The Hum Or Jindgi Hi Bhool Gaye… Wah Wah … Log Bewafai Kar Dete Ho Par Kagaz, Kalam, Or Ye Lafz Kavi Bewafayi Nai Karte, Sachai Hi Ugalte H… Jhot Insan Bolte H, Kagaz Kalam Nahi, Bewafa Hamesha Sanam The, Hum Nahi… Thanku
Lagta hai aap bhi be moth maare gaye ho yaar…
Ye ishq or ham aishi raahain hain , agar wafa mili to ham mil jaate hai agar bewafaai milli to MIT jaate hai…
Thanks for reading dost.
U R Ri8 Mujhe V Kisi Ne Bemot Mar Diya, Hath Tham K Beech Sadak Pr Marne K Waste Chor Diya… Dil Me Ghar Dekar Bewajh Beghar Kr Diya… Are Khudgarz Thi Wo Jise Mene Samjha Nahi, Usne mujhe Pani Me Jahar Milaya Pila Diya… Galti Thi Meri Ki Mene Sacha Pyar Kiya… So Saza To Milegi Hi Na !
Sb Jhut H Sach Ye H Aj K Jamane Pyar Nam Ki Chiz H Hi Nahi… Sb Bs Tym Pas Karte H… Flirt Karte H… Setting Karte Ha… So Meri Baate Koi Ramjhega Nai… 🙂
Haa.. Tum sahi keh rahe ho log iss pyaar sabd ka apmaan Karen pe utter a aye hain par koi nahi shayad koi or hoga hamare liye Jesse is sabd se or iske arth ki pehchchan,or is mohabbat se mohabbat hogi.
So cheer up..and rid these lines….
Samundar ki hai rawani ,varsho ki hai kahani,
Badal ne hai pookara, ek sapna Ka hai ishaara,
dhadkan ke safar main, zindagi Ka hai najara,
ushe dekh kar kuch saans bhar, badli dil ki har nishani.
samundar ki hai rawani, varsho ki hai kahani.
Ek safar ke hamsafar kahin roj milte hai,
kuch pal ki mulakaton main, zindagi unke khilte hai,
Nassa hai koi safar Ka,Dil gumsum ankhen armaani hai,
samundar ki rawani varsho ki ye kahani hai.
iss jhooth dikhawat se pare ,ek dusre Ka hai bahara,
zindagi simatane lagi yaaro,uss main simta hai najara.
khayalon ki komal dhaage se ,raaton ko hai banaya,
Neende udda kar sapno ko ushshe hai sajayaa.
ushki raahain ushke kadam ,ushki rehmat ki hai ye kahani,
samundar ki rawani,varsho ki hai ye kahani.
Badal ne hai ye pookara ,sapna Ka hai ishaara.
……………………,,@Ranjan kumar singh
So Nyc, Is “Dhadkn K Safar Me Mene Bahut Kuch Khoya Bhai Bahut Kuch…. Pr Kambakht Wafa V Nasib Nai Hui Mujhe… Khair Pyar Hamesha Layak Person Se Hi Karni Chahiye….
Ye baat bilkul sahi kaha tumne sabhi log mohabbat ke laayak nahin hote…
Ek line thi meri pichchle poem main…
Hawayon ke in main andar ki sachaaye hain
Mohabbat ushi se karna jishmain mohabbat ki achchaaye hain
Ye baat bilkul sahi kaha tumne sabhi log mohabbat ke laayak nahin hote…
Ek line thi meri pichchle poem main…
Hawayon ke in main andar ki sachaaye hai
Mohabbat ushi se karna jishmain mohabbat ki achchaaye hai
Absolutly Ri8 Bhai… Mohabbt Ki Aachaiya Ho Jisme Apna Sacha Pyar Dhundna Chahiye Usme… Khair 1 Baat Ye Itni Achi 2 Lines Aapne Self Likhi Kya? Agar Aapne Likhi To Bahut Achi H, So Nyc,
Very nice poemm yrr
Haa mai hi likhta hoo.
Abhi thoda pagal ho gaya hoo…
Jo bhi mai mehssoos karta hoo usse poem ke roop dene ki koshish Bhar hai
Oh Yaar Bhaiya So Nyc Yar Acha Likhte Ho,keepitup Wese Kaha Se Ho Aap Kya Karte Ho!
Mai Bihar se hoo.or mai padhta or padhaata hoo…
Rooh tere mujhe jaante hain, bash tere ankhon ko manana hai,
ye nicessss hai
Ok G Me V 12 Pas Kiya Hu N College Jana H Now… Khair Bahut Acha Likhte Ho, Mohsin V Acha Likhte H… 🙂
Challo achacha hai sab ko kuch kuch pasand aati hai ,lagta hai mai poet banane ke raaho pe thoda door chal diya hoo shaayad…
Maine bhi iss saal 12th Ka exam diya hai result Ka wait kar raha hoo… Dekhte hai a age kya karna hai…
Kon sa college main jaata hoo…
Acha Bhai Apn Dono 12 Me 🙂 Aapne Kya Subject Liya? Mere Maths H Shayad Aake V Maths Hi Hena ? 🙂
Absolutely right maths is my fav subject yaar…
nice
AChcha to tumhe engineering karni hai????
Ok .. Yaar..Pyaar vyaar jyaada mat karna ye bahut hi complex eqn hai har koi se solve nahi hota…..shocked…
Such rahe hoge ki ek love story likhne waalaa Aisha kaise bol sakta hai.
Kyoki main jaanta hoo.. ssaala pyaar naam ki baddua se guzra hoo, ye mera dimaag kehta hai
Par dil shayad pagal hai impractical hai jab kabhi rato main Mann nahi lagta to apne feelings ko poem Ka roop Deta hoo bas..
Subah se phir wahi dimaag ki kahani chalti hai
poem padhte padhtr aapki poem me hi jaise kho gye ham aur dil kar raha tha k bas padhte hi jaye……
very nice poem….
heart touching…
Hi guys
Sab kaha gay
Thanks Heena Ji
Ek Baat or aapka naam bahut achcha hai…
Don’t take me in a wrong way.
Heena _=mehndi==Jo khud barbaad hokar dusro ko khuahiyaan deti hai.
Ek Baat or aapka naam bahut achcha hai…
Don’t take me in a wrong way.
Heena =mehndi==Jo khud barbaad hokar dusro ko khuahiyaan deti hai.
Sahi Kaha Yaar Love Ki Eqn Is Too Difficult For Solution, Sala Hal Hi Nahi Hoti, Khair Pagal Ladkiyo Se To Acha H Hm Apne Future Pr Focus Kare… Ye Ladkiya Girgit Se V Fast Rang Badalti H… Kuch Hi Ladkiya Sachi Hoti H Warna Aj Kl Ki Larkiya Bahut Modern N Virtual Ho Gai H… Pyar H Hi Kaha Sacha Sb Dhoka Dete H… Pr Mere Apno Ne Sath Nai Chora Mera… Mere Dost Mera Pyar, Most Of Girls Are Like Just Tym Pass Today…
Ri8 decision best of luck for ur future,dhokhe ko pyaar ki nazar se bardaast karna unke saamne uff take naa Karna .jab kal WO hamain yaad kare to unhe pachtaava jaroor hoga ,ye sabko hoti or main jaanta hoo issmain bahut dard hot a hai
Shubham to aise bol rha h jese pyar me mar hi gaya ho , dhokha tuje pta nhi kya hota h ..Internet obsessive lover 🙂