Romantic hindi love story

Ek Haseen Sa Safar – Abdul Mulla

Mai janta hu doston ye ek aisa haseen safar hota hai jis se is dunya ka har ek insan hokar hi guzarta hai.

Aap sab soch rahe honge ki ye kis safar ki baat karraha hai to chalo doston aaj mai ek chohti si kahani likha rahan hu doston k sath beete chand lamho ki jise kalam band karraha hu umeed hai ki aap sab ki yaden taza hongi.

Smajh nahi aata kaise bayan karu apne alfaz kyunki zindagi ke har panne se doston ki yaden judi hoti hai. To mai soch raha hu ki mai aaj kuch apni college ki yaden batorta hu.

Doston har saal ki tarah ye saal bhi guzar gaya or naya saal aagaya college ke admissions shru hogaye or admission hogaye jab ham college me enter huye to zahir si baat thi har koi naya tha har koi anjan tha par pahle din sab se jaan pahchan hogayi kisine dosti ka hath badaya to hamne kisi ki taraf badaya. Jaise taise din guzarte gaye guzarte wakt ke sath dost bhi badalte gaye jo shru se sath the saale sath rahgaye thode din bad saale jo kabhi anjan lagne wale ek dusre ki jaan bangaye. Phirsabb milkar ghumna phirna mauj masti chedkhani karna doston k saath classes bunk karke katton par baithna to mano ki ek apni adat si bangayi.

Ek roz to sab kambakhaton ne baithe baithe madam ko hi chehd diya us roz bala ham sab par tooth padi kya kahen har kisi ko class me jo daant padi. Magar salon ko na kich fark pada wo kahte hai na ek kaan se sun liya or ek kaan se chohd diya phir dusre din se apni wahi routine shru hogayi or naam milgaya katta gaang.

Jab college me days manaye jate to apne group ya phir yu kaho ki gang ka andaz hi kuch aur tha wo jo apni entry dhamake dar wo jo sab ko chehd kar maze lena un dino ka kya kahna. Phir jaise hi annual sports aate to sab milkar plan karn or apni class ko jeetane ke planning karna jeetne k liye jee jaan se lagana jeet gaye to kya kahna warna apni haar par bhi jeetne walo k saath thumke lagana.

Maza to exam ke wakt aata jaise hi exam aati saale sab milkar padhayi karne jaate magar padhayi na khud karte or na auron ko karne dete. Collge me liabray thi is baat ko jante the par kabhi na jate jab jate to mano ke aise lagta jaise k library nahi mandir jarahe ho. Hadd to is baat ki thi exam ke pahle akhri week me to saale sab milkar nightbout ke plan karte. Ghar se maa bbaapko pata kar studies k bahane raat bhar masti karte. Phir exqm ki pahli raat tension na ho puri padhayi to apna wo formula chits banao ya phir dost k paper se tampnaa or tampna to aise jaise k mano ki dost ke paper se tampna apna haq sa tha. Phir saala exam k akhri din masti karna.

Sach me doston ye mere liye to ek meri zindagi ka “ek haseen safar” hai jo doston ke bagiar kabhi pura na hota thank you doston is haseen safar ko haseen banane k liye……

Abdul

Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin

2 thoughts on “Ek Haseen Sa Safar – Abdul Mulla”

  1. Mayur agr y story pdo to plz apna contact no dalo yahan… Mane tumhari story me bhi comment kiya tha but waiting me chal rha h

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *