Sad hindi poem

Use ab fark nahi padta – Danish

Jaan h jo meri use ab fark nahi padta,
Jiyu ya fir mar jau use ab fark nahi padta..
Kaha karti thi jo tum bin ji nahi sakti,
Use ab mere na hone se ab fark nahi padta..

Lamhe bhar baat na ho to rona usko aata tha,
Ab to din bhar baat na ho firbi usko fark nahi padta..
Dara karta hu usse kuch bhi  bolne se pahle,
Wo sab kuch bol deti h use kuch fark nahi padta.

Taras jata hu pal bhar bhi uske pyar ki khatir,
Magar mai q kahu ye sab use ab fark nahi padta..
Raat bhar jag kar aksar yahi sochta hu mai
q bahte h ye aansu jab use kuch fark nahi padta,

Usko mai kaise samjhau ki meri h wo sab kuch,
Meri kasme khane se bhi use kuch fark nahi padta,
Jara sa der ho jaye to gussa mujh par hoti thi,
Ab to ghanto bhi na karu reply usko fark nahi padta.

Uski har ik berukhi lagti h mujh ko teer ki tarah,
Hota hu mai kitna heart use kuch fark nahi padta….
Kaha karti thi pahle wo na jana door kahi mujhse,
Ab uske shaher me bhi na aau to usko fark nahi padta..

Rahu kitna bhi gussa manane wo nahi aati,
Use to mere gusse se bhi ab  fark nahi padta..

Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin

8 thoughts on “Use ab fark nahi padta – Danish”

  1. Siddhartha???? verma

    Sad hai bhai aapki poem
    You should join ‘YOUR QUOTE’ APP
    dil-o-jaha se chaha jisko
    Vo name chahe ye zaroori to nahee,
    Farak that uski Aur meri mohabbat mai,
    Vo zindagi bhar saath nibhaye ye zaroori to nahee……

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *