Taanha..Khawab – Rahil

Maheran ek zaheen ladka tha.woh ek garid family mai pala bada tha.Father auto driver and mother house wife thi.Rural area mai rahene ke bawajood bhi us ki thinking high thi.10 ke exams mai wo Distinction se pass huwa.Dekhne mai chahere par rounaq aur samajadri ki wajah se bahut ki khush mizaj tha. Well-mannered aur simple.Parents ko laga unki garibi ko khatam kar denga.phir usne diploma in Engineering mai admission haseel kar liya.jaise taise 2 saal ka lamba waqfa guzar gaya.Is darmiyan uske kafi dost ban gaye the.last semester aagaya us ne ek ladki ko college mai dekha.wo bhi last semsester mai thi.Chahera paani ki tarha saaf,lamba kurta, Ankhe black aur haya se sar par dupata.Maheran ne dekha magr wo bhi haya ke maare neeche dekh leta.Apni responsibilities aur family ki condition ka pata tha usko.Is liye ye sab bato se door hi raha karta tha. Wo ladki uske dost ki cousin thi aur yeh bhi reason tha ke wo usko dekh na nahi chahta tha.Dosti ki respect ne uske dil ko katne lagi.Lekin final year. Studies, projects mai wo busy raha.Aakhirkaar last year bhi end hogaya.Result first class tha.Then he got the admission in B.E.Phir usne apne ek dost Adil ke sath B.E ki starting kar di.Usko pata chala ke wo ladki ne bhi same college mai admission liya hai.Uska naam tha Fariya.Fariya ki paak damani se wo apne dil ko na bacha saka. 3 saal se wo ladki uske sath thi par ankh utha kar bhi usne kisi ladke ki taraf nahi dekha tha..ye adda Maheran ko bahut pasand thi.Lekin phir soch mai pad gaya ke wo ek doctor ki beti aur ye jhopad patti mai pala bada.par dil ki bazi har chukka tha. Co-incidentally Maheran ke mahole ki friend Tamreen, Fariya ki friend ban gayi thi.Maheran ka dost adil uska haal achhe se jaanta tha.Aur usko chida bhi deta Phir usne tamreen ko tiffin khane ke liya invite kiya as he knew that wo dono friends thi.Maheran aur uska dost canteen mai baithe dono ka intezar kar rah the.”Mujhe pata hai Maheran Sahab ka kya iradha hai tamreen ko invite kar ne ka”…adil ne kaha…Maheran jante huwe bhi anjaan ban gaya…”Matlab?”…Adil ne phir kaha:”Kis ko qatl karne ka iradha hai, khuda bachaye us bechari Fariya ko”….Maheran ka haal to aisa tha jaise Kaanto to khoon nahi..badi mushkil se chahera par ane wale emotions ko control kar liya….Phir itne mai tamreen dekhai di maheran ke dhadkan tez hogayi..kyunki wo tanha thi…uske aate hi adil ne phuch liya “Fariya kaha hai” aur question mark tha maheran ke chahere par.Tamreen ko hairaani thi…ke ye dono kyu Fariya ke bare mai puch rahe hai..lekin phir tamreen ne adil ke sawaal ka jawab diya”Wo kahe rahe thi ke usko shy feeling hoti hai istarha boys ke sath lunch karne mai….”Adil ne maheran ka chahra dekha lekin uske emotions ko judge karne mai fail raha..next day tamreen ke sath fariya bhi lunch ke liye aye thi shayad tamreen ne badi mushkil se usko convince kiya tha… Gotta urgent work… Next part mai aap logo ko zarur sonaonga By the way aap ko abhi tak ki story kaisi lagi please comment I need your valuable suggestions and should I write further?

 

Next story available now, click here

 

Submit Your Story

Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin

11 thoughts on “Taanha..Khawab – Rahil”

  1. Nitika . Muskan

    that not fare…..ye kya yaar ye to serial ki trh lg rha h. u r playing with reader’s feeling………………

    1. Ma.a m this is not serial story….just I’m trying to present in the different way…By the way thank you for having a look on story….

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *