Kaisa yuddh lad rahe hain hum
Na chahte huye bhi shamil ho rahe hum
Mann ki ran bhumi mein Shanti ke paksh mein chale jane ke bad
Q fir raktbhumi mein chale ja rahe hum ?
Jaan ke, bujh ke, samajh ke, har tarah se dekh chuke iska anjam
Kya hoga, kaisa hoga
Fir q hamare kadam kheench la rahe tum ?
Q ladne par majboor kar rahe tum ?
Chalo kshama kiye tumhare sare gun avgun dosho’n ko…
Chalo chun liya humne yaha bhi Shanti,
Khud ki khatir…khud se tumhe maaf kar chuke hum
Fir q hamare hriday aghat ka Anand punah utha rahe tum ?
Q hmair peeda par vish ka pyala gira rahe tum ?
Q punh shashtra uthaane ko vivash kar rahe tum?
Chalo maaf Kiya..chalo kshama daan Diya…
Vish ka yeh ghoont bhi pee rahe hum
Apne lab khud see rahe hum
Ab na hogi ladayi..na raktbhumi mein…na mann bhumi mein
Ke ab Shanti Priya ho chuke hum
Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin

