๐Ÿ’˜ Discover a Heartfelt Story: Shayad pyar hona tha usse Part I - Sandip Kumar

Purani Yaadain…(Ranjan kumar singh)

 

Favim.com-19163Aaj chalta hoo un yaadon main,us pal ke anoothe samvaadon main,
jahaan zindagi khulla- khulla sa tha,koi kaal kothri nahin milta,
ham roj subah uth jaatain the,school ke liye saz jaatain the,
har seat gadda hota apna,har stop adda hota apna,
ham zindagi Saan se jeete the,yaari jaan se jeetain the,
har din alag kahani hoti apni,kuch alag nishaani hoti apni,
ladkiyo Ka parwaah nahin,koi pyaar Ka koi afwaah nahin,
ham loffar naalayak kehlaate the,har daatt ko hass ke pee jaate the,
jab ham bash ke andar jaate the,har ladki khud hi side ho jaate the,
Unshe Teekhi najarain paate,ham haste unhe bhi hassate the,
1st bench Ka aadda apna,har dukh Ka ek dam saga apna,
har din wahee baith jaate the,koi raaz naa dil main chuppatain the,
prayer bahut lamba lagta,kuch apni prarthna kar aate the,
har ladki hoti apni radar par,line ke pichche lagte aksar,
har ladki khubsoorat dikhti hamko,naye ladki har din jachchati hamko,
jab class main wapas jaate the,poorani daatt phir se soon jaate the,
kehti sarm tumhe kabhi nahin aati hai,prayer main bhi dikh jaati hai,
bash ek jawab hota apna,chup ho jaao Jo karna hai karle apna,
kitni dhamkiya milti unki ,bahan pe gussa nikalti unki,
bahan ko har din manatain the,kuch biscuits toffee khilatain the,
kuch period hamain hassati thi,itni hasseen ki pet phool jaati thi,
har lamha kitna rangeen tha,daatain sunana bhi kitna haseen tha,
yaari dosti nibhaatain the,lunch saath main hi ham khaatain the,
had pal bhookh lagi rehti hamko,har period ko lunch banate the,
koi naya teacher Jo aate the,har dhang se unko ham satate the,
ladkiyo Ka kon parwaah karain,madam ko bhi hassaya karte the,
teachers apne fan the,good boy hamain bulatain the,
logo ko ascharya hua karta ,ham kaishe ye sab sambhaalte the,
ladkiya apni deewani thi,hamshe karti manmaani thi,
ek ladki sabse anjaani thi,Jo sabse alag begaani thi,
WO hamesha piche baitha karti thi,kabhi kisi ko naa dekha karti thi,
USS ladki se baatain karne ko mera dil bhi machalta tha,
par reputation Ka khyaal kar mai aapne dil ko sambhalta tha,
jab library ham jaate the,gandi pustake hamain bulatain the,
ham mil baatt ke padha karate the,har picture ko hass ke dekha karte the,
jab ye manmaani karte the ,sab ladkiya hampe bigadte the,
koi hamara itna kyu parwaah karain, har besharmi Ka hadd ham parr karain,
jab teachers round pe aate the ,ham phir se good boy ban jaate the,
principal bhi hamara taarif kare,ladkiya ishpe khud hi JAL mare,
hothon pe gaali bash reh jaati thi,par apnapan bahut dikhati thi,
USS apnapan ki parwaah hai kisse,ham doston se hi achche bhalle,
o rooth hamshe phir jaati thi,khud hi maan ke
wapas WO aati thi,
jab CHchooti school ki hoti thi,jab sab se bida ham hotain the,
har dil main kuch choobh Jaata tha,hota dard par kon kisse dikhaata tha,
aaj kahani bilkul aajeeb Si hai, na dost hai bilkul Tehzeeb Si hai,
saptaah main kabhi hassa karte hai,hashne ko ham tarasha karte hai,
log kehte hai ab bade ho gaye ho tum,
chchodo dosti yaari sambhal jaao tum,
par kisses ye zindagi bhaati hai,
andar hi andar kuch toot-phoot jaati hai,
koi wo din phir hamain dilla jaaye,
ham ushke ho jaaye Jo hamain phir se hassa jaaye,,,,,,,………
……..Ranjan kumar singh

Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin

41 thoughts on “Purani Yaadain…(Ranjan kumar singh)”

  1. really yr awsm….
    scl ki aur dosto ki yaad dila aapne to…

    koi wo din phir hamain dila jaaye,
    ham uske ho jaaye Jo hamain phir se hasa jaaye…

    ye lines bahot hi acche h…

  2. hey vinod old(bujurg) ๐Ÿ™‚ kyu chilla rhe ho, new story kyu kharab karte ho yr tum log apni bkbas se….kisi purani story par jaya kro

  3. O Mr. Ghayal… ek baat suno aap b humari… jiski poem h wo aa kr kuchh b kahe… ap kon hote ho ese kisi k sath badtamizi karne wale
    .
    Jiski ye poem h wo khud yahan sabko join karna pasand karte h… ap aa jate ho yahan dailouge maarne… apne din bhool gye kya… yahan mn karta tha mandli laga k beth jate the… abhi aye ho dusron ko salaah dene… apni salahen apne tak rakkho….
    har jagah har kisi k sath badtamizi… kabu rakh apne ap pr… samjhe

  4. Ananya Tum 12 Di Ho Mevi Diya Hu Bt Bindu G Apne Se Badi H So Not Bindu ๐Ÿ™‚ Bindu G Bolo Bindu G ๐Ÿ™‚

  5. sutri bomb laga k bhadka do ghayal ho hahahahahaha mujhe v ek bat samjh nhi aati story upr h to story kaise kharab hoti h??? jb ki comment niche note h ๐Ÿ˜›

  6. m batati hu deep g… actually nyi story pe chat kroge to … wo bande jo is story k regarding cmmt karenge…unke cmmt jo kyi baar suggesions b hote h.. writter k liye bht important hote h… so writter k liye ese cmmts ko aam baat cheet k beech me dhundna zra mushkil ho jata h… isi liye kyi bar to story k writter khud chat ki manahi kr dete h… theek b h apni jagah pe ye baat… lakin writter khud kahe ye baat.. to manne layak b ho.. vese hum khud hi syane h…

  7. ha writter story aap logo ki aapsi bat chit ke liye likhta h , use kyu prblm hoga . use thodi na suggetion or cmnt chahiye apni stry par ..

  8. wo to yunhi kabhi kabhi… hi hello h r u.. k chkkr me baat bhad jati h… Mr. ghayal g ghayal ho jate h… ๐Ÿ˜‰

  9. ohh god….
    bindu g aap intni samjhdar kaisi h??
    har sawal ka jawab hota h aapke pass…
    didi plzz batayi aapki age kya h??
    aapme itni samjh kaha se aayi??
    mai aapki samjhdari wali bato ki fan ho gyi hu…
    ajse mai aapko didi kahkar pukarungi…
    aapko koi problem to nhi h na??

  10. to itne comment krne ki kya jarurat h kahi aur chaleSB…..dusro ko salah dene walo khud kabhi amal v kr liya kro ๐Ÿ™‚

  11. koi kehta nhi iska mtlb ye nhi ki bo nhi chahta , …. sab apni stories par suggestion or cmnt chahte h story se related , ye faltu ki bkbas koi nhi chahega apni story par

  12. ab tujhe baki logon ka baat karna bakwaas lagta hai… kyu
    jb tu karta tha bakwaas… tb ni aata tha khyal tujhe dusron ka…
    now listen all frnds… mandli kahin or ja k lagao…

  13. Q baat ko badha rahe ho yr…
    pk ne dusri story pr cmnt kiya h waha chalo bindu g…
    aur aapne mere sawal ka jawab nhi diya…

  14. kya bat hai dost……apne to school ki sari yadain taji kar di……very-very nice poem…always miss schl time yar……..

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *