kya mausam aya hai love poem

naye mousam ke fool – shiv pandit

kya mausam aya hai love poem

Aksr jindgi ke kisse kahani bnkr yad rhte h..
Or ye kahaniya taza rhti h sda sda ke liye ,kbhi kisi kagz pr to kbhi kisi zhn me..
Esi hi kahani h meri..
Mera nam rohini h..
Pichle sal june ki hi bat h..
Vo din sayd sal ka sbse grm din tha..
M apne papa ke sath apni bhua ke ghr ja rhi thi..
Papa aksr bimar rhte h..
Or hm tiin bhne h..tino nokri ke nam pr scool me pdhati h..
Or papa ki ek bat din me kai bar dohrati h..ki khrcha km kro..
Station phunche to kmr tut gyi..
Kyuki ek no. Pletfarm ki gadi char pr lgi thi aaj..
Vzh janne ka mn nhi kiya..bs relve ko kos rhi thi..
Pr kya krti..
Papa ne bde vale bag ko hath me liye to mene mna kr diya..
Or apna duppta kmr pr bandh kr fir se kooli bn gyi..
Pr khush thi ki papa ke kuch pese bchenge..
Wqt se phle hi pahunch gye..
Gadi ke dibbe abhi bnd hi the..
Tb tk koi kam nhi tha..
Bs station ki bhid ko dekhne lgi..
Kuch duri pr do  tiin ldke khde the..
Bde khush mijaj lg rhe the..
Mera andaz tha ki dost h..or andaz shi rha..
M bar bar dekhti rhi unki trf,jb tk dibbe ka gate nhi khula..
Kuch der bad gate khulne pr hmne apni sheet pkd li..
Dono sheet side vali thi..
Papa upr vali pr beth gye..
Niche ki adhi sheet hmari thi or adhi kisi or ki..
M beth kr gadi chlne ka intzar krne lgi..
Itne me ek aadmi aya or sheet no. Dekhkr bola ki adhi meri h..
M simt kr beth gyi apni sheet pr..
Kuch chehre hme phli nzr me hi acche nhi lgte..vahi hua..
Pta nhi kyu vo admi accha nhi lg rha tha..
Umr me papa se do char sal hi chota hoga..
Pr uski hrkte jahilo vali thi..
Pr kya kr skte h..tickt ke form me acche ya bure ka option to h nhi..jo use click kr de..
Sfr lmba tha indor se udypur ka..rat puri sfr me gujarni thi..
Achank vahi tiin ldke aa dhmke..
Or pas vali sheeto pr beth gye..
Tino khush mijaj…shorgul psnd the..
Aate hi dibbe ka mahol mjakiya kr diya..
Unke jumle mujhe hnsa rhe the pr m apni hnsi ko dba rhi thi..
Kyuki papa upr vali sheet pr the..
Yu to papa kh chuke the hm tiino bhno ko,ki dulhe apni mrzi se le ana..pr dahez kuch nhi dunga m..
Pta nhi esa unhone nayi shi soch ki vzh se kaha ya hmari gribi ki vzh se..m nhi janti..
Pr yu papa ke samne kisi ldke se bat krne ki himmt nahi thi meri bhi..
Rat niklti gyi..
Pas betha admi apni behuda hrkto pr utr aya..
Kbhi apne pair lgata mujhe to kbhi khndha..
Mujhe gussa aa rha tha..
Pr mujhse jyada gussa anil ko aa rha tha..
Haa..anil nam tha uska..
Un tiino ldko me se ek..bato bato me uske dost uska nam le rhe the..to mujhe bhi pta chl gya..
Kuch der bad jb us admi ki hrkte hd se bahr hone lgi to anil ne us admi se kha ki uthkr uski jgh pr aram se so jao..
Us admi ki fitrt hi esi thi ki ldki nahi to koi ni..nind aani chiyiye..
Vo chla gya anil ki jgh..
Ab anil beth gya mere pas..
nam hi pucha usne sidha mera..
Mene bta diya..
Usne apna btaya to mene kh diya ki m janti hu..
Use accha lga ki m use notic kr rhi thi..
Vo bilkul sidha sadha tha..
Bechara khud sikud kr betha tha taki mere to kya mere kpdo ko bhi chu na ske..
Ek bar upr se papa ne dekha..
Pucha aram se bethi ho na..
Mene ha kha to unhe bhi nind ki vzh mil gyi..or sayd vo so gye..
Kyuki mene unhe subh hi jgaya ..
Sari rat m anil se bate krti rhi..
Na gadi ki bhid se dikkt ho rhi thi or na grmi ne hme tng kiya..
Vo dosto ke sath udypur ghumne ja rha tha..
M phle bhi ja chuki thi to use btati gyi ki kaha kaha jana h..
Bato bato me usne apne ghr ka or apni pdhai ka jikr kr diya..
Vo m b a kr rha tha..or mene apna kr diya..
Subh hote hote udypur aa gya..
Pr mujhe lg rha tha ki abhi na aaye to accha ho..
Ye gadi kuch jyada tez chl rhi thi sayd hmesa ke mukable..
Pr mnzil to aani hi thi..
Jb utre to usne hme station ke bahr tk chor diya..
Papa se bhi do bat ki..
Papa ne bhi use dekh kr khushi hi zahir ki..
Vo tha hi khush mijaj..
Uske jane pr pta nhi m kyu udas ho rhi thi..yu lg rha tha ki vo alg kyu ho rha h…
Usne sayd mere mn ki udasi pdh li..
Or dhire se mujhe kaha ki no. Milenge?
Mene jht se ha kr di..
Or vo no. Lekr chla gya….
M bhi apna saman uthakr chl padi ..
Itne me fon bza..saman rkh kr fon dekha to usme ek msg aya tha..
Likha tha..
Hm naye mosm ke fool ke h…murjhate nahi..anil
Mere chehre pr muskuraht thi………

Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin

25 thoughts on “naye mousam ke fool – shiv pandit”

  1. bhot hi behtarin story h … kya likhne ka andaaz h….kya lyns h…kya title h…. jaise kisi lekhak ne ye story likhi ho …
    bhot khub …

  2. nyc story yar apki story ne song k yaad dila di aksar is duniya me anjane milte hai but wo ajane abhi sath hai ya kho gaye a tho batado

  3. Thanks to all of you hmm ye bat to hai likhne ka andaz to koi inse sikhe kha ho shiv bde dino bad story likhi hai kya bat hai

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *