First love in class

Naa jaane kyun phir m????habbat karne laga Part I- Rohan urf Sikander

Nadi kinare dhuan uthat,
Main jaoon kachhu hoye,
Jiske karan main jala,
Kahin vahi na jalti hoye,

Lakdi jali bhal koyla,
Koyla jala bhal raakh,
Main premi aisa jala,
Koyla bhaya na raakh.

Phir vahi nazar, vahi badi badi bhoori aankhen aur phir vahi mujhe dekh kar shokhi ke saath palkon ka jhapkana.

“Oye sun na, bore ho rahi hoon yaar”

Aur phir vahi ada ke saath ubaasi lene ka natak karte hue mere kandhe par uska sar ka tikana.

“Class mein suna karo ke kya bol rahe hain, filhal mere notes copy karke kaam chala rahi ho, aage zindagi mein kya karogi?? ” Hamesha ki tarah mera shikayat karna.

“Tum hoge na vahan bhi mera saath dene ko, my best friend” Hamesha ki tarah muskurate hue uska vahi purana jawab.

Best friend. Is label se mujhe nafrat bhi thi aur ye haqeeat bhi thi ke is label ke bina jeena mera muhaal tha.

Mere Humnafas, Mere Humnawa,
Mujhe Dost Ban Ke Daga Na De
Main Hoon sadma-e-Ishq Se Jaan-Valab,
Mujhe Zindagi Ki Dua Na De.

Use shayad khabar bhi nahi ke mere dil mein kya hai. Ke kaise main use dekh dekh jeeta hoon aur kaise mera use dekh dekh hi dam nikalta hai. Uske liye toh main uska sabse achha dost hoon jo uske har achhe bure mein uske saath hota hai. Jab vo hasti hai uske saath hasta hai aur jab vo roti hai toh uske chehre se ashq ponchhne ko sabse pehla jiska haath hota hai. Aey kaash ke use khabar ho ke ye silsila mehez saath hasne aur saath rone se kahin aage nikal chuka hai.

Kaash use khabar ho ke vo hasti hai toh kis tarah mere dil ki dhadkan tez ho jaati hai aur vo ghamzada hoti toh kaise mera dil bethne lagta hai. Aey kaash ke use khabar ho ke kaise main baar baar uski nazar bacha kar uska deedar karta hoon, uske chehre ko apni nazar se chhuta hoon aur ye sochta hoon ke uske bina kabhi jeena pada toh kya karunga. Kaise guzarunga ye din aur kaise kaatunga apni raat.

Sochta hoon ke kaisi hogi zindagi jo yun hi kabhi vo bhi meri mohabbat ka iqraar kar le.

“Yaar vo kal wala assignment banaya?”

“Haan” Maine jawab diya

Usne usi masoomiyat ke saath apni aankhen gol gol ghumate hue meri taraf dekha aur maine bina kuchh kahe, bina kuhh sune uska matlab samajhte hue kaha ?Shaam ko ghar aakar de jaoonga. Kar lena copy?

“Thank you so much. You are my best friend” Vo khushi se kisi chhoti bachchi ki tarah khush hoti aage badhi aur mere gale mein baahen daal kar mujhse lipat gayi.

Best Friend.

Kaise kahoon, kaise samjhaoon ke main usse zyada hona chahta hoon. Ke main usse mohabbat karta hoon. Par kambakht alfaaz hain ke na jaane kyun zubaan tak aakar hi ruk jaate hain. Ehsaas hain ke na jaane kyun dil mein dhadkan ban kar hi dhadakte reh jaate hain. Khwahish hai ke na jaane kyun aankhon se toh numaya hoti hai par lafzon ka roop lekar kabhi zubaan ki sidhiyan nahi utarti.

Na jaane kyun.

Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin

8 thoughts on “Naa jaane kyun phir m????habbat karne laga Part I- Rohan urf Sikander”

  1. Really Nice Lines.

    Hey there! It’s me, Prince here. I feel myself so lonely because, I don’t have any friends. If Any Boy or Girl, Who needs A Good & Faithful Friend and Would like to Friendship with me? So, Please WhatsApp/Message me on 9199007192. Only Serious Persons are allowed, Arrogant People & Time-Passers Stay Away.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *