Usko gaye aaj 8 din ho gaye hain aur main apne ghar mein apna sar thaame uski tehreer padh raha hoon. Jo kabhi hamesha mere hi notes copy karti thi, usne pehli baar khud kuchh likh kar mujhe bheja hai. Bhejne ki tareekh uski maut se 2 din pehle ki thi.
“Shaadi ke baad tum aise gaye ke bas gayab hi ho gaye. 2 saal ho gaye hain aur tumhara kuchh pata nahi. Kya ho gaya? Naraz ho mujhse kya? Phone number badal liya aur mujhe bataya tak nahi? Ghar badal liya aur mujhe khabar bhi nahi ki? Ab phone bhi nahi karte? Tumhara ye address bhi badi mushkil se dhoondh paayi hoon ?. sach kahun toh main jaanti hi nahi ke ye sahi bhi hai ya nahi ?
Ek baat thi mere dil mein kaafi arse se so socha ke aaj keh doon. Ek lambe arse tak intezaar karti rahi ke shayad tum kahoge par aisa hua nahi. Shayad maine hamari dosti ka kuchh aur hi matlab nikala aur tumse ek anjaan si ummeed laga bethi thi aur aakhir tak vo ummeed qayam rahi.
Mere paas ab waqt zyada nahi hai aur main nahi jaanti ke main ab tumhein jaane se pehle dekh bhi paoongi ya nahi. So aaj khud hi apne dil ki baat kahe ja rahi hoon. Actually toh mujhe kabhi samajh hi nahi aaya ke tumse kaise kahun aur aaj bhi nahi jaanti ke kaun se shabd likhun isliye college time ki apni diary ke kuchh papers phaad kar post kar rahi hoon. Ummeed hai ke shayad tum padhkar samajh jao ke main kya kehna chah rahi hoon.
Aur ek jhooth bhi bola tha maine tumse. Kahin jaane ke liye main hamesha tumhein isliye bulati thi ke main tumhein saath le jana chahti thi. Tum aane se mana karte the toh jhoonth bol deti thi ke papa jaane nahi de rahe aur tum aakar saath chalne ka bahana karo taaki to permission de den.
Waqt rehte tumhein ye mil gaya aur tum aa sake toh theek varna alvida mere dost. Apna khyaal rakhna. Hamesha Khush Raho.
You were my only and my best friend.”
Maine diary ke kuchh pages jo usne bheje the padhne shuru kiye.
“Samajh nahi pa rahi hoon ke kaise main use apne dil ki baat bataoon. Kabhi kabhi uski taraf dekhti hoon toh lagta hai ke vo bhi mujhe chahta hai par vo kuchh kehta hi nahi. Aaj class mein chor nazar se baar baar mujhe dekh raha tha. Vo sochta hai ke mujhe pata nahi chalta par main jaanti hoon ke vo meri aankh bacha kar meri hi taraf dekh raha tha.
Agar chahta hai mujhe toh lallu hai ekdam. Saara din uska haath thaame ghoomti rehti hoon. Ab aur isse zyada kya ishara doon ke main bhi use chahti hoon”
Uski diary ke pages khatam hone se pehle hi meri aankhon beh chale the. Aaj phir ek baar meri duniya loot li gayi thi. Aaj phir dil chah raha tha ke main cheekh maar kar do roon.
Peet loon main bhi apni chhati, phod loon main bhi apna sar. Pehenke kala choga, main bhi dhar loon roop Rudaali ka.
Phir ek patthar utha kar aasman ki taraf, uperwale ki taraf uchhalun.
Main gham-e-jahan se nidhal hoon,
Ke sarapa dard-o-malal hoon,
Jo likhe hain mere naseeb mein,
vo alam kisi ko khuda na de.
Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin
True Love Story.
Hey there! It’s me, Prince here. I feel myself so lonely because, I don’t have any friends. If Any Boy or Girl, Who needs A Good & Faithful Friend and Would like to Friendship with me? So, Please WhatsApp/Message me on 9199007192. Only Serious Persons are allowed, Arrogant People & Time-Passers Stay Away.