Baat us samay ki hai jab main jawaher navoday vidhyalaya me padhta tha.un dino dil me ek aisi umang si uthti thi ki kuchh aisa karo ki sabhi log mere aage pichhe ghume;aisa aqsar hum logo ke sath hota hai ki kuchh aisa kar jaye ki duniya humko yaad karke aansu bahaye-mujhe sageet ka bahut shauk tha isliye maine art sub.ko chhodkar music class ko join kiya. Mere class teacher shri vinod yadav ji the vo mere teacher kam dost jyada the,unhe main apne dil ki sabhi baaten bta diya karta tha,vo humare history ke teacher the,main jab navoday padhne gaya tha us samay meri age 12-13 saal ki hogi, gharwale mere pass ek ghanta hi ruke hoge aur mujhe hostal me chhodkar chale aaye,main waha akela rah gya waise to waha bahut bheed thi magar sabhi mere liye ajnabi the,isliye mujhe akela pan mehsoos ho raha tha. 2-3 dino tak main udaas hi raha is beech mere pass ek samasya ye thi ki maine kabhi apne kapde khud nahi dhule the kyo ki ghar par mere kapde mummy hi dhulti thi aur yaha hostal ka ye rule tha ki apne sabhi chhote ya bade kaam khud hi karne padte the,
Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin