my love story – jagdish

My First Love….. Doston Mera Naam Jagdish Hai, Mein Chandigarh se hun. Maine Automobile Engg. ki Hai Aur Saath Mein Mobile Laptop Repairing Ka Course bhi Kar Raha Hun. Apni Kahani Pe Aata Hun, Yeh Unn Dino Ki Baat Hai Doston, Jab Mein apne doston ke Saath Kisi Ek dost ke Gaon Gaya Thaa, aur woh sardiyon ka samaa usey bhul bhi nahi sakta… naye saal se do din pehle humari train ki ticket book ho rakhi thii, Aur safar taye karna thaa lucknow ka, Aur kismat ka funda dekho saali train hi late thii 6 ghante. Toh platform pe raat kaatni padi… subha jab train aayi toh apna samaan chadha ke jab seat par baithe toh aur us par baithte hi so gaye saari raat jo nai so paaye they. Abb jab next day lucknow Se Aagey Jagdishpur pahunchey hi Wahan Dost ko kisi Purpose se Ghar Pahunchne Se Pehle Kisi Ko milna thaa Sultaanpur, Toh hum sub ussi ke saath aagey bus Pakad Kar Nikal liye. Jab Wahan Pahunchey Toh Wahan Raat Ho Chuki Thii. Aur Bhook bhi bahut lag rahi thii. Safar mein Kuch khaaya bhi nai thaa. Aur Bus Se Utar kar charon hotal mein pahunchey aur khaana order karaya Khaana Khaane ke baad, Raaye Bani ki Raat Jyaada ho gayi hai iss waqt shayad bus na mile. Toh Diside Hua ki Sultanpur mein Mere Dost Ke Maama Rehte Hain. Aaj Unkey Wahan Ruk Ke Kal Subha Dost Ke Ghar Jagdishpur Pahunch Jaayenge. Aur Phir Yaad Aaya Ki Hum ne Toh Safar Mein Hi Saara Samaye Kaat Diya. Aur Bhul Gaye They Ki Raat 12 Baje Ke Baat Happy New Year Ho Jaayega. Aur Jashan Manaane Ka Aur Thand Mitaane ka Saamaan Kharid Kar Hum Nikal Pade Dost Ke Maama Ji Ke Ghar, Mujhe Kya Pata Thaa Mere Kaminey Dost Mujhe Ghumaane Kyon Laaye Hain. Yahan Tak Ki Saali Naukri Tak Ko Laat Maar ke Doston Ke Saath Chal Diya. Aur Ghar Mein Bahana lagaya Ki Meri Training Lag Rahi Hai Lucknow Mein. Asli Kahani toh Abb Suru Hoti Hai… Raat 2 Baje Tak Khaane Peene Ke baad Again happy new year Bol Ke Hum Chaaron So Gaye Apne Apne Bistron Pe, Subha Dost Ke Ghar Bhi Jaana Thaa. Ek Train Thii 7 Baje Ki Aur Dusri 2 Baje Ki. Toh Late Sone Ki Wajhe Se Koi Nahi uth Paaya Pehli Train Miss ho Gayi 7 Baje Waali Aur Fir Naha Dho Kar Sub ke Liye Naashta Tayaar Ho Gaya, Date 1 jan 2013 Aur Kaminey Dost Shuru ho gaye taana maarna ke khilaao khilaao, launde ko khoob khiloo khaatir daari toh honi hi chahiye. Mein Samajh Nahi paaya li yeh aisa kyon bol Rahe hain, Fir Dopahar ke khaane mein bhi aisa hi hua. Aur jab hum wahan se nikle Aur Jagdishpur Pahunche Toh Wahan Pahunch kar Sub se Mile Aur Sub Bade Khush Hue. Humko Dekh Kar Ghar Mein Raunak hi aa gayi thii. Raat Ko Khaana Khaa KHaate Hue Phir Comment Padhne Lage mujhe Ki Khaatir daari ho Rahi Hai Bhai poori Poori. Saala Kharaab Ho gaya Sochte Sochte Ki Yaar Yeh Aisa Kyon Bol Rahe hain. Aur Agle Din Toh Had Ho Gayi Unke Wahan Jo Unke Maama Ji Ki Ladki Rehti Hi Uska naam hai Poem Ab Uska naam le usey bhii chidhaane lage ki poem, Jaggu ko Kuch pooch toh le Roti Sabji Daal Achaar Kuc Chahiye Toh Nahi Usey, Sub Mile hue They Aur Mujh pe Hans Rahe They Mein Bhi Unke Saath Hansne laga, Aur Mujhe Laga Kisi Aur baat Pe Hans Rahe Honge.. Aur Thoda Shaq Bhi Hua. Kahin Mujh Pe Hi Toh nahi Hans Rahe They Saari Raat Sochte Sochte Subha Utha Sardiyon ka Samaye Thaa Aur Mein Subha 5 baje Roj Thande Thande Paani Se Naha Dho Kar Tayaar Ho Jaata Aur Dost Ki Mummy Ji Mujhe Chaaye bana Ke De Deti Aur Woh Pooja Karne Chale Jaati Thii. Ek Ek Kar Ke Sub Uth Gye Fir Fir Next Day Date 2 Jan 2013. Next Day Jub hum sub naashte Pe Baithe Toh phir mujh par comment ki barsaat ho gayi hai. sabhi uss Bichari ko kehne lage ki jaggu ko puch toh le ki usey kuch aur chahiye toh nahi. Phir Mere Mind Mein Aaya ki Yeh Sabhi Usko Pareshaan Kar Rahe Hain Aur Uska Naam Mere Saath Jodne k Koshish Kar Rahe hain. Fir Pata Nahi kyon mein Isi Baat K le ke bahut Depression mein ho gaya thaa. Aur khaana toh bus mujhe Zehar Ki tarha lagne laga. Kabhi Kabhi mann Karta Ki Khaana Khaane Ko mana Kar Dunn ki Mujhe Bhuuk nahi hai. Aur Fir Sochta Agar khaane pe nahi gaya toh shayad fir jyaada comment padenge. is darr se khaane pe jaana hi pada. Aur Aaj Fir Humne zara markit tak ghumne tak ka plan banaya thaa. Bus wahan se laut te huvey Raat Ki Party ka bandobast le aaye aur kuch snaks, chips saaman la ke ghar mein chipa diya, Aur Raat ko Khaana Khaa ke hum Apni Qwaaliyon mein baith jaate harmonium chimta dholak le ke aur dhamaal macha dete pure ghar mein. Phir raat ko peene ke baad jab sone lage toh ek bed thaa aur ek manja thaa toh mein dost ke saath manze par so gaya aur baaki do dost Pappu Aur Kamal bed pe so gaye… toh sone ke 2 ghante baad jo mere Saath Soya Thaa Jiske Ghar mein Hum Aaye hue they Uska naam Thaa ( Dhruv ) Usne mujhe Uthaya Aur Kaha so Raha Hai Meine kaha Nai bhai neend nahi aa rahi, toh usney kaha mubaarak ho. Maine Kaha kya bol raha hai kaminey. usney kaha Kuch Nahi. Maine Kaha Thik hai bhai ok gud 9t. Usne Kaha Achaa kuch puchunga batayega. maine Kaha haan bhai puch. Toh woh mujh se kehta ki Tujhe poem Kaisi Lagti hai, Meine Kaha Thik Lagti Hai bhai. Kyon Aisa Kyon Puch Raha Hai. Kehta Kuch nai Aise Hi… Next Day Date 3 January 2013 Thand jyada thii Saara Din Kamrey mein Hi nikal Gaya… Next Day Date 4 January 2013 Motu Se Mile Aur Paidal Ghume Markit Aur Railway Station gaye Samose Khaane. Next Day Date 5 January 2013 Hum Chaaron Ne Match Lagaya Wahan Ke Ladkon Se Aur saare Match Haar Gaye Hum.. Aur Paise bhii. Next Day Date 6 Jan 2013 Hum Sub Naashta Kar ke Tayaar Ho Gaye Aur Lucknow Bhool Bhulaiya dekhne Ke Liye Ready Ho gaye, Ab mere Dimaag mein Bichari Poem ke Liye galt feeling aane lagi aur jaate jaate usne mujhe se Kaha uninor ka recharge karwane ke liye kaha aur Kaha ek Mint Mein Paise Deti Hun. Meine Kaha Koi Baat Nahi Mein Karwa Dunga Aur Ghar Se Bahar Doston ke Saath Chala gaya. Phir train Pakdi Aur nikal gaye Bhool bhuliya Dekhne Aur 3-4 Famous Mall Ghume Wahan Ke. Aur Laut te Waqt Poem Ka Recharge karwaya Kyon ki Uss Samay Yaad nahi Raha Thaa. Aaj fir night Party ka Programme Rakha Ek Frend Thaa Pappu Uski B’day Party panding Thii. Aur humne Kaha Ki Bhai. Aaj Party De De. toh Fir uss Din Ki Party Uske naam ki Thii. Aur Ghar Pahuncha toh poem boli mujh se ki Saare Pise kat gaye Mere, Mein Ussi Samaye Raat ko 9 Baje 2 Km Bhaagte Hue Uska 50 ka Again Recharge Karwa Ke Laaya. Woh Mujhe kehti ki Itni Raat Ko baahar Jaane Ki Kya Jaroorat thii. Recharge Din mein bhi Toh Ho Sakta Thaa, Meine Kaha Chalo Koi Baat Nahi Yaar. Pata Nahi Kyon Itni Khushi Ho Rahi Thii Uss Din. Aisi Feeling Mujhe Kabhi nahi Aayi Apni Zindagi mein Ajeeb Sa atraction ho raha thaa, Andar kamre mein Akela Baitha hua usi Baare mein Soch Raha Thaa Aur Uss Kamre Mein Mandir Thaa Aur Mein Haath Jod Ke Bhagwaan Se Duaa Kar Raha Thaa Ki Ki Bhagwaan Woh Meri Ho Jaaye. uss Din mangalwaar Thaa Isliye Qawaaliyaan Aur gaane gaake hum ne aadhi raat kar di. Aur 12 baje ke baat boltal nikali aur chaaron ne pee kar masti maari Aur Meine Ek Baat Notice ki Uss din Mere Pegg Mote hi ban Rahe The lagta Hai Chaahte They Ki Achhi Tarha Tull Ho jaaun. Aur So gaye Aaj Fir Mere Dost Dhruv ne Mujh Se Poocha Aur Kaha ki Jaggu Tujhe Poem Kaisi Lagti hai. Bus Botal Toh Chadh hi Rakhi Thii Gulucose ki Sub Kuch Bol Gaya Jo Dil Mein Thaa, Meine Kaha Bahut Achhi Hai Yaar. Toh Kehne Laga Ki Yahi Sun Na Chaahta Thaa Tere Munh Se Kaminey. Pata hai Uskey ghar Waalon Ko Tu Pasand Hai Meine Usey Pucha Bus ghar waalon ko Usko Pasand Nahi Hun, Toh Bola Agar Usko Pasand Nahi Hota Na To Ab Tak jo Khana Tujhe Pyaar se khila Rahi hai naa, WOh Puchti Bhi Naa. Meine Kaha Yaar Sacchi Maine Kaha I Like Her bhai ji, Chal So ja Phir Abhi, Meine Kaha Subha Jaldi Bhi Uthna Hai ok Bhai Gud 9t. Next Day Date 7 January 2013 Hum Sabhi Bhel Gaye Hue They Motu Ke Saath Masti maari Uss Din Puri Aankhiri Mein Laut te Hue Old Monk. Ek ek Sip Sub Ne maari. Next Day 8 January Hum Sabhi naha Dho Kar Tayaar ho gaye Kyon Ki Mandir Jaana Thaa Aur apni jaan ke Ghar Bhi Jaana Thaa Sultanpur, Yaaron Kya Bataun Uss Din Pehle Mandir Gaye Fir Dhruv ke Daddy Ke Bhai Ke Wahan Gaye Ek Gaon Mein. Fir Uske baad sub sultanpur ke liye rawana ho gaye Dhruv ke maama ji ke wahan pahunchey sub se mile Aur Poem mujhe Ishara Karte hue Boli Ki yeh Mere Mummy hain Paanv Chuu Lo Meine Ishaare mein Kaha Main chuu Chuka Hun Chal Tum Kehti Ho Toh Ek baar Aur Chuu Leta Hunn. Bus Ladki Bhii Khus Ho Gayi. Aur Kya Chahiye. Fir lunch Kar Ke Shaam ko Waapis Aa Gaye Saare. Next Day Date 9 January 2013 Yeh Teeno BHEL Gaye Hue They Aur Mein Uss Din Inke Saath nahi Gaya Taaki Kuch Samaye Apni jaan ke Saath Bhi Gujaar Sakun. Aur uss Se Kuch Baat kar Sakun. But Woh Kaam Mein Hi Itni Wiyast thii Ki Kya Keh Sakte hain. Jab Free Hui Tab Tak Woh Kamine Aa Chuke they. Next Day Date 10 January 2013 Hum Sabhi Master ji Ke Wahan Gaye Hue They. uss din Kyon Ki Next Day Hum Ne Jaana Thaa Chandigarh ko Toh Unhone Bhi Apni Aankhon Ka Check up Karwane ke Liye Saath hi Chandigarh Aana Thaa… Next Day Date 11 January 2013 Aaj ke Din Mann Pata Nai Kyon Udaas Sa Lagg Raha Thaa. Kyon Ki Poem Se Bichadne Ka Time Jo Aa Gaya Thaa. Aur, Uss Din Mein Last Time Uske Haathon Banaya hua Gaajar Ka Halwa Khaana Chaahta Thaa. Toh Mein Subha Subha 5 killo Gaajar Laaya Aur Aadha Kg Kishmish, Aur Kaaju Le ke Aaya. Fir Shaam ki Train Thii Jagdishpur se Lucknow Ki Aur Fir 10 Baje lucknow Se Chandigarh ki. Jub Station Se Uss Se Bichda toh woh Meri Aankhiri Bye Thii Uske Liye, Aur Mere Aansu Nikal Pade. Abbna Jaane Kab mula Kaat hogi… 7 Baje Hum nikal Padhe Lucknow ke liye, Aur mera mann Bilkul Udaas Sa Ho Gaya Poem ki Badi yaad Jo Aa Rahi Thii. Do Ghante baad jab Sweety Di ka Msg Mujhe Aaya Toh mein Tadap Gaya Aur na Mere Paas poem Ka no. Thaa Aur Usey Sontact Karney Ka Koi Upaaye Bhi Nahi Thaa.. Maine Sweety Di Ko Msg Kar Diya Ki “Didi ji Mein Apni Amaanat aapke Paas Chod ke ja Raha Hun Pls Uska Khyaal Rakhna” Aisi Baat Thii Toh Pehle Kyon nahi Bataya Aur Bata Baat karega Us Sey Maine Kaha Haan Yaar Di Karni Hai. Woh Jo Maine Msg Di ko Bheja Thaa Wo usey Padh ke Rone Lag Gayi Thii… Usney Kaha Yaar Mein Abhi Baat Nahi Kar Paaungi, Mujhe Bhi Rona Aa Gaya Yaar.. Usne Kaha Apna Khyaal Rakhna Yaar Maine Kaha Sorry yaar Shaayad Nahi Rakh Paaunga, Kyon Ki Kyaal Rakhne Waali Ko Toh Wahi Chod Aaya Hun. Usne Kaha Thik Hai Yaar Jab Pahunch Jaaoge Toh Karna Thik ok Bye Take Care. Fir Uss Raat Train 6 Ghante late Ho Gayi Aur Yeh Teeno Dost Waiting Room ka Pata karne gaye.. Toh 2 Hi Seat Mili Toh master Ji Aur Dhruv ki Mummy Ko Humne Wahin Tehra Diya, Aur Hum Hotel mein Ruk Gaye Aur Raat 11 Baj Gaye Aur Mein Roming Mein Thaa Aur Uss Se Msg Kar raha Thaa Aur Mujhe Msg 1.50 Rs Pad Raha Thaa Ushi Raat 400 Ka Recharge Karwaya. Aur Uss Se phir Baat Bhii Hui… Aur Abb Toh Ghar Waale bhi Raaji hain Dono Ke Bus Milne Ka Samaye Nahi Mil Pa Raha hai Uskey Mummy Daddy Se Kuch Problem Pad Ja Rahi hai Dono Ke Bich is Liye.., But Bahut Jald engagement Hone waali hai humaari… Dua Karna Doston Ki Woh Meri Zindagi Ban Jaaye

 

 

Submit Your Story

Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin

7 thoughts on “my love story – jagdish”

  1. hiii….dear
    nice love..
    don’t very dear woh aapki bahut jald ban jayegi…
    i pray to god ki aap dono hamesha khush raho…aur aapko woh bahut bahut jaldi mil jaye…
    all the best dear..

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *