Mere sapno ka bhi ek mahal hota,
uske hi sahar me apna basar hota.
Mang lete use uske hi khuda se,
Kash meri duaon me itna asar hota.
Sare Jahan me aisa ek nagar hota,
jahan khwahishon ka na koi dagar hota.
aur chahne se bhi na milta gum kisi ko,
Kash meri duaon me itna asar hota.
har koi hasta aur phir kabhi na rota,
na hi phir koi gum ke neend me sota.
log thak jate khushiyan bant-bant kar,
kash meri duaon me itna asar hota.
na hi koi raja hota aur na rank hota,
na hi koi ravan hota aur na kansh hota.
bas sabke dilo me ek hi jigar hota,
kash meri duaon me itna asar hota.
phir na kisi ka kisi se taqkarar hota,
aur na hi kisi ko kisi se inkaar hota.
har taraf sirf sukho ka hi lahar hota,
kash meri duaon me itna asar hota.
sabke pas acchha sanskar hota,
sablogo ko aapas me itna pyar hota.
phir na koi ghar se beghar hota,
kash meri duaon me itna asar hota.
khushiyon ka hi barsaat hota,
andhero me bhi chandani raat hota.
har waqt khuda ka hi pahar hota,
kash meri duaon me itna asar hota.
kash aisa apna ye sansaar hota,
jahan sirf khushiyon ka hi vyapar hota.
yaha paiso ka na koi kam hota,
bas chahne walo ka hi naam hota.
phir tufaano se bhi na koi dar hota,
kash meri duaon me itna asar hota.
Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin
Nice poem ..prince
Nice poem g good
Nice lins..
Hii frndss kese ho sp sb
Tanuuuuuuuuu
Hum apko yaad karte hai ok hehe mazaq kar raha hu me apko yaad nahi karta
Nice poem g tujhsi bht accha poem likhta ho
Nice poem……prince g……
Tujhe chaha rabse bhi zaada ..!
phir bhina tujhe paasakey…..!
Rahe tere dil me magar….!
teri DHADKAN takna jaasake…!
Judke bhi toOti rahi ishq e di dOr ve…!
Kisko sunaye jaake tOote DIL ka
ShOr ve.
Maahi ve mOhamda
Sachiyane humduda naseeba kuch hor hai…. !!
☺
awesome poem….
Maine Sapno Ka Ek Mahal Banaya Hai
Likh Ke Naam Tera Usko Sajaya Hai
Jis Bhi Taraf Dekha Tera Hee Chehra Najjar Aya Hai
Chor Kar Naa Chali Jana Ab Mujko Akela
Badi Mushkal Se Tumko Paya Hai
Haan Maine Sapno Ka Ek Mahal Banaya Hai
Nice poem bhai ji
Nice poem..