Love Story – Suhail

Hi friends mera naam Suhail hai main jammu main rehta hou main is site per sub ki khania padta hou main iss website ko bohat he zyada pasand karta hou sub ki storia padte padte muje be khayal aaya kyoun naa main be apni suchi truestory likhu taki mere man se be thoda sa dard kum hoga ab main zyada time nahi khana chata aap logu ka ab main apnistory pe aata hou too bat us samay ki hai jub main 8th main padta tha aur hamare pass ke ek gawou main ek ladki rehti thi jiska naam nelofar tha woh dikhne main bohat he cute aur bohat zyada inocent hai jub maine usko pehli baar dekha to usi same say muje uske sath pyar hogaya main ladkiu say baat karne say bohat zyada darta hou main har rooz ab waha jane lage aur uske ghar ke samne baith kar uska wait karta rehta tha ki kub woh bahar aaye aur main usko dekh lou usko dekhne ke baad muje thoda sa sakoon milta tha iss tara ek saal beet gaya aur main usko kuch na keh paya ab jub mere dostou ko pata chal gaya ki main nelofar say pyar karne laga hou to unhone muje tane dene shuru kiye ki main be choodia pehnu yeh sub mujse ab sehan nahi ho paa raha tha to ek din maine himat karke nelofar ko pass bhulia aur kaha ki main aapse pyar karne laga hou to usne kuch nahi kaha to main man he man main khush hogaya ki shayad nelofar be mujse pyar karti hai to maine uska hath pakad liya mera hath itna kampne laga ki nelofar nay kaha ki aap itna kampte kyoun ho to maine kaha pehli baar kisi ladki say baat kar raha hou to woh hasne lagi main man he man main khush ho raha tha to maine kaha melofar bolo na kya aap be mujse pyar karti hai to usne kaha nahi suhail main pehlle say he kisi aur say pyar karti hou to meri to pairu tale zameen nikal gayi usne kaha udass mat ho aapko koi mujse be achi ladki mile gi maine kuch nahi kaha aur waha say chalne laga jub ghar pounch gaya apne room main ja kar muje pata he nahi chal raha tha ki mere ansu gir rahe hai lakin kar be kya sakta tha uss pagli ko kya pata main kisi aur ladki kay satha pyar kara he nahi sakta kyounki pyar zindagi main ek insaan ek baar karta hai baar baar nahi maine nelofar kay sath pyar kiya hai aur marte dam tak karta rahuga yeh muje pata be hai ki woh kabi be meri nahi ho sakti lakin phir be main usko bhool he nahi pata..

Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin

1 thought on “Love Story – Suhail”

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *