💘 Discover a Heartfelt Story: pati ne diya dhoka - purva

Hum, Tum aur Yeh Dooriyan – Rea

the story which i am narrating today is a real story of one of my best friend,i met him when i was working as a asst script writer for a bengali daily soap in kolkata.he was acting on role in the same project.his name is neel. the story starts from a very small town balurghat in west bengal.and neel was the heart of his friend circle.bcoz of his acting and mimicry.apart that neel was a very brilliant student, a very talented painter.but unfortunately during his engineering course his father met up with an accident and suddenly they became very poor.he stopped his study and joined work in a construction company far away from his hometown.but he was not happy.becoz he wanted to be an actor.after six months he left the job but becoz of his family issues he desperately needed a job.so he joined at a photo studio.last time when we met in 2012 31st eve he was really drunk and he told me about his love story.now i am narrating what exactly he said. February 25,2010 tab main studio me kaam karta tha lekin sapna tha k filmstar banunga.usdin malik ko bahut patane ke baad mujhe usdin k liye chutti mila picnic ke liye, dosto k saath bazaar jaane ke waqt raaste mein ek dukaan se cigarette jala raha tha tab raaste ke us taraf dekha usse.

wo has rahi thi apne doston k saath.lekin usne mujhe nahi dekha.uske gaalo k dimple,sharaarati aakhein, sweet sa smile.mere kaminey dost mujhe zabardasti le gaye..peechey mud k dekha to black salwar kameez par wo ja rahi thi.family responsibility k wajah se kabhi pehle aise nahi kiya, aisa hua bhi nahi tha kabhi.doston ko bola to wo kehne lage na naam jaanta hai na pehchaan, kaise dhundega usse.pehli baar dil se jawab aya.agar milna hai to kaise bhi ho woh mil hi jayegi. ekdin studio k saamne jharu lagane k baad kaanch saaf karte karte achanak dekha ke blue-white school dress pe wo jaa rahi hai.daurte hue raaste k paas jaate waqt darwaje ke kone se pair me bahut chot aaya tha.tab mujhe pata chala k wo hamare studio k paas wale school mein parti hai.din beetey gaye,aur main deewana hota gaya.school k waqt dukaan saaf karne k baad roz tiffin khaane k bahaane se raaste k bajuwale chaye k dukaan par khara rehta tha.har roz usse dekhta tha to khus ho jaata tha.energy aa jaata tha usse dekhne k baad.chutti k waqt kabhi kabhi kuch bhi bahaane de kar nikal jaata tha.main dekhne mein utna accha nahi tha aur skinny body tha. naturally koi ladki daana bhi nahi daalti thi.kher jo bhi ho, ekdin main uske school k saamne khara tha kuch ladkiya usse bula rahi thi, uska naam mujhe pata chala, koyel.achanak piche se koi mere collar pakda.mudke dekha to ek police wala tha.

jab wo police wala mujhe daat raha tha usdin pehli baar usne mujhe dekha lekin us look mein ek ghin thi mere liye.mujhe waha k local dukaan dar sab pehchante the isliye police se raahat mil gaya.doston ko bataane k bad bahut gali mila tha muft mein. 2 din baad koyel ko akele raaste paas ek paani puri k stall me dekha.baat karne gaya to woh samjhi k main kuch ulta sidha harkat kar raha hu.toaas paas k log mujhe bahut ulta sidha kahaa.wo mujhe nahi samjhi.main apne jamaye hue paise ghar pe chhod k 800 rupay leke kolkata chala aya.ghar pe sirf ek chitthi chhod k aya tha. “jab kuch ban jaunga tab aaunga. paise ka chinta mat karna, jabtak zinda hu paisa bhejta rahunga.” yaha aane k baad dekha yaha paisa kamana jitna aasaan dikhta hai utna hai nahi.tollygunj k paas ek dost ka ghar tha, waha pe main rehne laga, paise k liye ek callcentre join kiya, din mein studio k bahar khara rehta tha kaam k liye aur raat ko callcente pe job karta tha.aise hi chal raha tha, ekdin ek asst director ne mujhe ek role diya.pehli baar screen me kaam karne ka baad mujhe aisa laga k ab suru ho chuka hu main, kuch aur bhi kaam tha haat mein, tab dil mein ek khayaal aaya ‘jab sapno k highwaype pair rakh hi chuka hoon to isbaar mere pyaar ka izhaar to kar hi sakta hoon.’ 8 mahine 13 din baad ghar laut raha tha. Maa, baba ka yaad to aa hi raha tha,lekin dil se koyel ka khayal mere dimaag par jhaak raha tha.

train me aate aate sirf uske bare mein soch raha tha main.kyu ki sochne ke ilawa aur koi option bhi nahi tha mere paas. Kyu ki uska picture ya contact number kuch bhi nahi tha mere paas.. soch raha tha uske saath mere pehli mulaqat ke bare mein. Mere haath mein jalta hua cigarette aur raaste ke us paar mera jaan koyel. Mere har saans mein wo jur chuki thi. Ghar jaake thoda rest lene ke baad raaste mein nikalne ke baad theek usi tarah usko firse dekha. thik waise hi mere haath mein wo jalta hua cigarette aur raaste ke us taraf woh. Achanak uske baaju me jo ladka khara thaw o mujhe pukara. Use baat karte karte main koyel ke taraf hi dekh raha tha. Usne bhi mujhe dekha lekin ek ajnabee ki tarah. Saraswati puja ke din main kuch ladke ke saath ghum raha tha. Ek ladka bola “didi aur would be jiju aayega neel da”. Lekin kaun aayega kaun jaayega wo mere paas koi maine nahi rakhta tha. Main sirf uske yaad mein tadap raha tha. Achanak wo ladka uske didi k saath mera intro karwane aaya jo ladki thi meri raani . use aur uske boyfriend ko saath mein khush dekhkar maine socha ki use dukh dena mere liye mumkin nahi.so main waha se nikal gaya. Daaru pike saari raat station ke bahar soya tha. Pehla pyaar khona kya hota hai usdin jaana tha main. Dedh saal beet gaya. Main abtak kuch movie aur soaps pe kaam kar chukka tha. Shaadi kiya lekin married life kharap tha. Separation hona baaki tha sirf. Kyu ki apne dil ko maar dia tha maine.

Ghar gaya tha kuch kaam se. koyel ko jo ladka didi pukaar ta tha uske ghar pe gaya tha ek kaam se.kaam tha yeh ki wo ek telefilm bana raha tha ussi silsile me baat karna tha use. Waha pe firse mera mulaqat koyel se hua. Is baar usne pehli baar mere saath baat kia. Dheere dheere hum kareeb aaye, dost bane. Aaj hamare beech wo rasta nahi hai. Fir bhi main control karne laga khud ko. Kyu ki mere saath jur gayi to uski badnaami hogi. Us telefilm mein hum couple ki acting kar rahe the. Sms calls chatting sab hadh se jyada hone laga. Hum ek dusre se mohabbat karne lage. mere 2 saal dukh mit gaya chutki mein. woh actress banna chahti thi. Banne k lie jo potentials chahiye wo sab tha usme. Mere reference me usne ek soap k liye audition di. Select bhi ho gayi. Lekin sabke nazar me aisa laga k main faida le raha hu. Uske ghar me sab jaan gaye hamare relation k bare mein. As usual hamare jaise small town k others family ki tarah koi raazi nahi tha hamare relation ko lekar. Aakhri baar usne mujhse baat kiya 2 din pehle. Pehle jaisa poore raat nahi, sirf kuch minute k liye. Keh rahi thi ki who phir kabhi mujhse baat karna nahi chahti, yahatak shakal bhi nahi dekhna chahti. Maine sab suna aur phone kaat diya. Sab kehte hain na bhagwan jo karta hai accha hi karta hai. Jo bhi hua uske liye accha hi hua. Wo kaam usse mil gaya. Lekin ussi din mujhe pata chala ke mujhe blood cancer hai. Wo mujhe bhul kar khush hai yehi accha hai na, mujhe to use khona hi tha. Main uske khusi me zinda rehna chahta tha, aasoowo me nahi September 28th I have lost my best friend. during this period he has never contact anyone. . I miss you buddy. I am sure that someday she’ll also miss u. The name I have used in this story is being changed for some reason. May be some mistakes in typing as I am not fluent in hindi. Please let me know if you like this post

 

Submit Your Story

Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin

0 thoughts on “Hum, Tum aur Yeh Dooriyan – Rea”

  1. thnx all…….i wish woh aaj ye story post hote dekh paata…..i m trying to make a telefilm on this story…..agar ho gaya to i ll share the link……thnks for liking this story

  2. jab main yeh story padna suru kia….frankly speaking suru suru mein mujhe bahut boring sa feel ho raha tha…but end tak padne k baad i was stunned….wo chahe jo bhi ho….agar ye sach hai thn hats off to this guy 4 his unconditional love……

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *