Aaj takriban 9 saal ho gaye hai.aur aaj uske is prastav ne ek baar fir mujhe ascharya chakit kar diya .main apne ghar ki taraf chal padi ghar pahuchne par chanda bai ne mujhe kaha k didi bhojan taiyar ha khana laga doon? chanda bai kawaz ne mujhe jaise swapan se jaga diya ho.main kuch samjh nhi pai k usne kya kaha chanda bai ne dobara mujhe bhojan ka poocha lekin maine mana kar diya.maine kaha tum kar lo bhojan mujhe abhi bhook nhi hai.chanda bai chali gai tabhi maine chanda bai se kaha k light band kar do aur darwaja laga do.wo chali gai.main apne bistar par leti aur kamre kandhere me apne beete huye kal mein ja pahunchi baat aaj se 9 saal pehle ki hai jab main amar se mili thi waise to hum padosi the parek dusre ka naam nhi pata tha main ek mahine pehle hi apne mamaji k sath wahan shift huithi apni study k liye tab mian class 7 mein thi tab shayad main usay janti bhinhi thi..kyun ki anjani jagah ajnabi logthe parhumjis building mein rhte the usi building mein first floor pe ek aurfamily rahti thi sinha pariwar unki ladi jo ki meri hum umra thi sneha sinha naam tha unki ladki ka ab hamri dosti ho gai thi. humaksar tarrace ki sidhiyon pe baith kar batein karte karem, ludo khelte holi najdik thi ek din sneha ne mujhse pucha k tum holi khelogi na… maine kaha nhi is saal meri badi maa ka nidhan hua hai to next year pakka holi k din main ghar me hi thi bahar nhi nikli lekin kisi darwaje pe dastak di thi bt mamaji ne mana kar diya.holii kshaam ko main aur sneha chhat par gaye usne batya k pados k kuch frndz aaye the holi khelne wo shayd sneha ksath meri dosti thi to mujhe bhi holi khelne k liye bula rahethe par sneha ne mana kar diya..wo chale gaye. holi k paanchve din rang panchami manai jati hai.bade dhoomdham se mujhe to khelna nhi tha.lekin us din sneha ne bhi panchami nhi kkheli karan exam ki tarikh aa gai thi to hum dono padhai kar rahe the k achanak ek pani kagubbara mere kandhe pe kisi ne mara maine palat k dekha k ek ladka hatho mein rang liye khada tha aur chehre pe badi pyari si muskaan thi jo ye dawa kar rahi thi k mian uske hatho se gulal lagwa loongi tabhi sneha ne kaha ye gulal nhi lagayegi is saal nhi khelnahai,wosamjh gaya tha lekin tabhi uske dusre sathi bhi waha aa gaye aur gulal liye meri tarf badh rahe the k achanak sneha ne kaha usay gulalmat lagao lekin wo badh rahe the tabhi uss ladke ne kaha mat lagao gulal usay uski awaj mere paksh mein thi uske sabhi dost ruk gaye usne mujhe sry kaha aur chala gaya ab jab bhi main school jati to usay darwaje pe khada dekhti kyun ki uska ghar hmare building k paas tha aur mere school jane wale raste mein padta tha jab mujhe uske bare mein puri jankari nhi thi.haan itna janti thi k wo bhi apne mama mami k sath rahta hai aur uski mami bhi kabhi sneha k ghar aati to muhjse baat jaroor karti garmi ki chuttiyan shuru ho chuki thi main apne nana ji k paas bhopal chali gai.jab aai to naye class me utsah se padhai shuru kiya.par is saal amar mein mujhe kuch badlav najar aaya jo ki mere favour mein tha matlab galiyon mein achanak hmara amna -samna hona, uska mere school takpeecha karna,chhat parkhade hokar ghoorghoor kar dekhna aur kabhi nhi dikhta to main pareshan ho jati na jane aisa kyun ho raha tha waqtgujarta gaya main 12th class mein thi hamari colony mein soniya naam ki ek ladki thi jo amar pe line marti thi ek din schoolmein usne mujhe lunch mein aakar choclate diya aur kaha di mera birthday tha kal to ye apke liye choclate mujhe baat badi ajeb si lagi maine choclate waps kar diya aur kaha thanx main choclate nhi khati school se lautte waqt amar mila usne phli baar mujse baat ki thi wo bhi gusse mein ye kaha k maine soniya ko pure school k samne chanta mara mujhe bada ascharya laga.main ussay kuch kehti k wo chala gaya mujhe bhi gussa aa gaya tha bina galti k mujhe doshi bana diya gaya maine soniya se puch to usne bataya k maine aisa kuchnhi kaha to hmne amar ko bulwaya aur soniya ko bhi uske samne soniya se pucha to usne mafi mangi aur apna jhut swikar kiya fir main waha se amar ki koi bhi baat sune chali gai agle ek hafte tak usne mujhe milne ki baat karne ki bahut koshis ki lekin maine usse baat nhi ki ek din achanak gali mein uska aur mera amna samna hua usne mujhse baat karni chahi lekin maine ansuna kar diya to usne mera hath pakda aur mere paas aakar bola tumhare samjh mein nhi aate main tumse itne dino se baat karna chah rah hu maif maang raha hoon.nhi aata samjh aat k main tumse pyar karta hoon .itna sun main nishabd rah gai.kuch dino k baad mujhe pata chala k uski shadi tay ho gai hai usne ek baar bhi shadi k liya aitraz nhi kiya uski shadi bhi ho gai.lekin usne apne wife ko mere bare mein btaya tha.lekin kabhi usne mujhe dekha nhi kyun ki uske shadi k pehle hi hum log kahin aur shift ho gaye the.uski shadi ko ek saal ho chuka tha,ek din mall mein main apni frnd k sath shopping k liye gai to amar ne mujhe dekha wo akela tha wokuch toys kharid raha tha mere puchne se pehle usne mujhe ye jankari bhi de di ki ab uski ek pyari si beti bhi hai usi k liye toys le raha tha,amar apni wife k prati wafadr tha usne toys khridne walibaat bhi usay batai par shayad uski wife ko laga k hamare beech aaj bhi kuch hai usne amar se jhagda karna shuru kar diya tha.amar bhi bahut pareshan tha.usne mujhe bataya main uski wife se milkar usay sab samjhana chahti thi lekin wokuch sunna hi nhi chahti thii aur bina soche samjhe woamar se talak chahti thi.ab mere paas ek hi upai tha.sari raat chinta mein nikal gai,subah hote hi maine chanda bai se kaha k ye sehar raas nhi aaya.wo kuch samjh nhi pai main sidhe amar k ghar chali gai waha tab tak talak k paper aa chuke the amar ne ye shart rakhi k wo talak dene ko taiyaar hai lekin wo apni beti koapne pass rakhna chata tha aur usne dusri shadi ka prastav mujhe diya.mere pairo tale jaise zameen khisak gai ho main ek tarf baith gai amar k aur uske sasural walo k nazron mein ek doshi thi aur main khud ko kathghare mein mehsus kar rahi thi amar ki wife ka ro ro kar bura haaal tha amar ki maa jo mujhe suru se hi pasand nhi karti thi aaj unhone bhi mujhe doshi paa karr apne mann ke sare mallal nikal diye mera mann ro rah tha .main faisla kar chuki thi,aur ab faisla mujhe hi sunana tha.apni jinadgi ka main amar k pas gai aur usse kaha main tumse shadi nhi karna chahti hoon haa maine kabhi tumse pyar kiya tha lekin kabhi zahir nhi kiya lekin tum meri har baat bina bole samajh jate the lekin aaj nhi aaj main faisla loongi aur aaj se tumhari life se hamesha hamesha kliye jarahi hoon itna kah kar main amar ki wife ke paas gai usse mafi mangi aur. hamesha kliye panchmadi chhod di.aaj achanak 3 saal baad aaj maine amar ko jabalpur mein dkha par uski wife ko ab koi shikayat nhi thi mujhse.ye mujhe khud uski wife ne batya aur mujhse maafi bhi maangi amar apni life mein khush hai ye dekh main bahut achha mehsus kar rahithi k mera faisla sahi tha…
Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin
Who r u? Tu vohi h na jisne “intezar navya” ye story likhi thi..
u are right
yes main wahi hoon bt aap ne kyun puch prince ji
Aaapki story bahut hi achhi hai……Ye aapki real story hai…
u are right
So jo ye sb story h kya ye story teri h ya base on imagination
So jo ye sb story h kya ye story teri h ya base on imagination…
Sahi fasla liya…..
u r right dear.
hi navya ur story was too gud u r v sweetheart person keep it up dear.