💘 Discover a Heartfelt Story: Tune duniya ke mn me - Aditya
awara love

Aawaara mai banjaara…(Ranjan kumar singh)

Aawara mai banjaara, koi saanjh dilla de mujhko,
Mai khoya hoo khud ke bhavar main, koi paar laga de mujhko,
Pyaar-nafrat ke labso ke parre ,koi raahain milla ho aagar,
Mai chalna USS pe chahunga ,chahe nark ki ho WO dagar,
Iss jhooth dikhaawe ki duniya se ,Mann mera jaishe toot gaya,
Zindagi se nafrat hoti mujhko,har kissa mujhse rooth gaya.
Naa ho koi ghar wahaan, naa jhoothe mehfil ke saaz ho,
Naa chehra ho mohabbat ke laayak,Naa sunane laayak aawaz ho,
mai zindagi ke har toffe ,har rang usse lauta dunga,
Zindagi ko apne pairro main rakhkar,usse football banaa dunga.
Naa chaahiye koi hassane waala ,naa dikhaawe ki rehmat mai mangta,
har yaad nikaal kar zindagi ke,ped main kaheen mai taangta.
Ho raahon main sholon ki dariya,bijli ke hawayain behte ho,
Mera aang-aang kitna bhi tadape,Koi ‘issi ke layak’mujhe naa kehte ho.
Un shollo se agar Bach gaya,agar saans main saanse meri ho,
Har yaad mitta ho iss duniya ke,agar naye yaad ki dibiya meri ho,
To mai kehta hoo ek maikhaana ho,
doobi hue saraab main, ekadkhdata girta deewaana ho,
phir kehna hai USS zamaane se,mai sach main jeena chahta hoo,
zindagi chaahe kaishi bhi ho,anshoo naa pina chaahta ho,
Ho sake to saanjh hua ho,or kuch orr baat bata de mujhko,
Aawara mai banjaara koi saanjh dilla se mujhko,
Mai khoya hoo khud ke bhavar main,koi paar laga de mujhko.
……………….Ranjan kumar singh

Do you have a story? Click here to submit it / Connect with the admin

12 thoughts on “Aawaara mai banjaara…(Ranjan kumar singh)”

  1. arey wah ranjan g.. aapne to ek sath do do poem.ki sogaat de daali lovers point k readers ko.. gud gud..
    nice h

  2. “Naa ho koi ghar wahaan, naa jhoothe mehfil ke saaz ho,Naa chehra ho mohabbat ke laayak,Naa sunane laayak aawaz ho,”
    .
    ye lines mujhe khoob bhayi h

  3. Nice yar

    Naa chaahiye koi hassane waala ,naa dikhaawe ki rehmat mai mangta,
    har yaad nikaal kar zindagi ke,ped main kaheen mai taangta.

    Ye line specially samajhne vali hai

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *